tum jo aate ho
tum jo aate ho
to kuchh bhī nahīñ rahtā maujūd
tum chale jaate ho
aur bolne lagte haiñ tamām
adh-khile phuul
samā.at pe jamī chaap havā band makān
guftugū karne ke aasan meñ ruke sab ajsām
murda lamhāt kā ik Dher pahāḌ
abr kī qaash uThī mauj kā sākit andām
barf lab palkoñ pe Tāñke hue motī aañsū
aur sile kānoñ meñ āvāz kī sūiyāñ be-jān
yak-ba-yak bolne lagte haiñ tamām
zindagī bunñe meñ ho jaatī hai phir se masrūf
vaqt ho jaatā hai phir ḳhāk-ba-sar be-ārām
ek panchhī jise uḌte chale jaanā hai ḳhudā jaane kahāñ
aur maiñ tinkoñ ke bikhre hue bistar kī tarah
muntazir lauT ke tum aao kisī roz yahāñ
phir hoñ ik baar muattal
ye zamīñ aur zamāñ
tum jo aate ho
to kuchh bhi nahin rahta maujud
tum chale jate ho
aur bolne lagte hain tamam
adh-khile phul
samaat pe jami chap hawa band makan
guftugu karne ke aasan mein ruke sab ajsam
murda lamhat ka ek Dher pahaD
abr ki qash uThi mauj ka sakit andam
barf lab palkon pe Tanke hue moti aansu
aur sile kanon mein aawaz ki suiyan be-jaan
yak-ba-yak bolne lagte hain tamam
zindagi bunne mein ho jati hai phir se masruf
waqt ho jata hai phir KHak-ba-sar be-aram
ek panchhi jise uDte chale jaana hai KHuda jaane kahan
aur main tinkon ke bikhre hue bistar ki tarah
muntazir lauT ke tum aao kisi roz yahan
phir hon ek bar muattal
ye zamin aur zaman
- Book : saughat (02) (rekhta website) (Pg. 207)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.