tum jo siyane ho gun wale ho
hiire motī la.al javāhar role bhar bhar thālī
apnā kiisa apnā dāman apnī jholī ḳhālī
apnā kaasa paara paara apnā garebāñ chaak
chaak garebāñ vaale logo tum kaise gun vaale ho
kāñToñ se talve zaḳhmī haiñ ruuh thakan se chuur
kūche kūche ḳhushbū bikhrī apne ghar se duur
apnā āñgan suunā suunā apnā dil vīrān
phūloñ kaliyoñ ke rakhvālo tum kaise gun vaale ho
tūfānoñ se Takkar le lī jab thāme patvār
pyaar ke naate jis kashtī ke lākhoñ khevan-hār
sāhil sāhil shahr basā.e sāgar sāgar dhuum
māñjhī apnī nagrī bhole tum kaise gun vaale ho
āñkhoñ kirneñ māthe suraj aur kuTiyā añdhiyārī
kaise likh luT raaja ho tum samjheñ log bhikārī
shīsha sachchā ujlā jab tak ūñchā us kā bhaav
apnā mol na jaanā tum ne kaise gun vaale ho
jin khetoñ kā rañg nikhāre jaltī taptī dhuup
sāvan kī phuvāreñ bhī chāheñ in khetoñ kā ruup
tum ko kyā ghāTā dil vaalo
tum jo sachche ho gun vaale ho
hire moti lal jawahar role bhar bhar thaali
apna kisa apna daman apni jholi KHali
apna kasa para para apna gareban chaak
chaak gareban wale logo tum kaise gun wale ho
kanTon se talwe zaKHmi hain ruh thakan se chur
kuche kuche KHushbu bikhri apne ghar se dur
apna aangan suna suna apna dil viran
phulon kaliyon ke rakhwalo tum kaise gun wale ho
tufanon se Takkar le li jab thame patwar
pyar ke nate jis kashti ke lakhon khewan-haar
sahil sahil shahr basae sagar sagar dhum
manjhi apni nagri bhole tum kaise gun wale ho
aankhon kirnen mathe suraj aur kuTiya andhiyari
kaise likh luT raja ho tum samjhen log bhikari
shisha sachcha ujla jab tak uncha us ka bhaw
apna mol na jaana tum ne kaise gun wale ho
jin kheton ka rang nikhaare jalti tapti dhup
sawan ki phuwaren bhi chahen in kheton ka rup
tum ko kya ghaTa dil walo
tum jo sachche ho gun wale ho
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-257 p-245)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.