tum kahan jaoge
tum mujhe chhoḌ kar
mujh se rishte-nāte toḌ kar
kahāñ jāoge
maiñ tumheñ bāġhoñ meñ
hañstā huā mil jā.ūñgā
daraḳhtoñ aur dīvāroñ par
likhā huā nazar ā.ūñgā
maiñ āsmān meñ jhilmilā.ūñgā
havāoñ meñ
rūmāl kī tarah lahrā.ūñgā
maiñ tumheñ har jagah mil jā.ūñgā
tum mujhe chhoḌ kar
mujh se rishte-nāte toḌ kar
kahāñ jāoge
tum mujhe chhoD kar
mujh se rishte-nate toD kar
kahan jaoge
main tumhein baghon mein
hansta hua mil jaunga
daraKHton aur diwaron par
likha hua nazar aaunga
main aasman mein jhilmilaunga
hawaon mein
rumal ki tarah lahraunga
main tumhein har jagah mil jaunga
tum mujhe chhoD kar
mujh se rishte-nate toD kar
kahan jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.