tum kahin nahin
koī bhī to din nahīñ aisā
jab bāteñ na kī hoñ tum se
koī bhī to pal nahīñ aisā
jab sochā na ho tumheñ
koī ek bhī to duā nahīñ aisī
jis meñ tum shāmil nahīñ
aur
kuchh bhī to rahā nahīñ aisā
jise
dil ne kahā aur dil ne sunā nahīñ
maanā ki
tum saath ho har dam
is dil ke bahut paas ho hamdam
magar
yuuñ hī kabhī
sochtā hai ye dil na chaah kar bhī
ki
duur duur tak is zindagī meñ
tum kahīñ nahīñ
tum kahīñ nahīñ
koi bhi to din nahin aisa
jab baaten na ki hon tum se
koi bhi to pal nahin aisa
jab socha na ho tumhein
koi ek bhi to dua nahin aisi
jis mein tum shamil nahin
aur
kuchh bhi to raha nahin aisa
jise
dil ne kaha aur dil ne suna nahin
mana ki
tum sath ho har dam
is dil ke bahut pas ho hamdam
magar
yun hi kabhi
sochta hai ye dil na chah kar bhi
ki
dur dur tak is zindagi mein
tum kahin nahin
tum kahin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.