tum kahte ho kawita likh do
tum kahte ho kavitā likh do
mujhe ḳhuun bahāna paḌtā hai
shabdoñ kī khīñchā-tānī meñ
nabzoñ kā dhāga kaTtā hai
ġham ke nokīle nashtar se
dil par gudvānā paḌtā hai
banjar kāġhaz ke siine meñ
ḳhanjar ban jaanā paḌtā hai
nazmoñ ġhazloñ ke jhagḌe se
zaḳhmoñ ko chhuḌānā paḌtā hai
vo galī jahāñ vo rahtā thā
us galī meñ jaanā paḌtā hai
us kī har baat bayāñ karke
phir naam miTānā paḌtā hai
vo aks jise maiñ yaad nahīñ
use raqs dikhānā paḌtā hai
saare tevar girvī rakh kar
us ko chhuḌvānā paḌtā hai
vaah vaah ke mai-ḳhānoñ meñ dhut
ghar le kar aanā paḌtā hai
pāgal-pan kī had tak jā ke
phir vāpas aanā paḌtā hai
sab chaturā.ī bik jaatī hai
jab shunya kamānā paḌtā hai
ātish-bāzī ātish-bāzī
ḳhud ko hī jalānā paḌtā hai
zevar nahīñ ta.avīz hai ye
partoñ meñ chhupānā paḌtā hai
kahte ho ek kavitā likh do
tum kahte ho kawita likh do
mujhe KHun bahana paDta hai
shabdon ki khincha-tani mein
nabzon ka dhaga kaTta hai
gham ke nokile nashtar se
dil par gudwana paDta hai
banjar kaghaz ke sine mein
KHanjar ban jaana paDta hai
nazmon ghazlon ke jhagDe se
zaKHmon ko chhuDana paDta hai
wo gali jahan wo rahta tha
us gali mein jaana paDta hai
us ki har baat bayan karke
phir nam miTana paDta hai
wo aks jise main yaad nahin
use raqs dikhana paDta hai
sare tewar girwi rakh kar
us ko chhuDwana paDta hai
wah wah ke mai-KHanon mein dhut
ghar le kar aana paDta hai
pagal-pan ki had tak ja ke
phir wapas aana paDta hai
sab chaturai bik jati hai
jab shunya kamana paDta hai
aatish-bazi aatish-bazi
KHud ko hi jalana paDta hai
zewar nahin tawiz hai ye
parton mein chhupana paDta hai
kahte ho ek kawita likh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.