tum kahte ho
log nahīñ kahte
ki tum nahīñ dekh sakte
āñkhoñ kī bosīda shāḳhoñ se phūTtī haryāval
log nahīñ kahte
ki tum nahīñ sun sakte
tārīkī kā sarmast giit
log nahīñ kahte
ki tum nahīñ chakh sakte
zabān meñ jāgte māvarā.ī zā.iqe
log nahīñ kahte
ki tum nahīñ sūñgh sakte
bosoñ meñ mahaktī halāvat
log nahīñ kahte
ki tum nahīñ chhū sakte
lahaktī havā kā badan
log nahīñ kahte
kuchh bhī nahīñ kahte
bas vo vahī sunñā chāhte haiñ
jo tum kahte ho
vo sunte haiñ aur
tum aur bhī sarpaT bhāgne lagte ho
na.ī kahāniyoñ kī bū sūñghte
pārsā.ī ke Dhol kī thaap par
nāchte nāchte
tum samāñ bāñdh sakte ho
magar kaun dekhtā hai
log to kab ke samā.at meñ Dhal chuke
sirf tumhārā dahāna khulā hai
mastūr mohabbatoñ ke raaz ugalte ugalte
tum zabān se Tapaktī raal poñchhnā bhuul ga.e ho
bāchhoñ se kaf uḌāte uḌāte
rānoñ ke beach dam toḌtī ḳhvāhishoñ kī gor-kanī tumhārā muqaddar ho ga.ī hai
dekh sakte ho to dekho
kahāniyoñ ke qadmoñ kī raftār meñ
koī farq nahīñ aayā
log nahin kahte
ki tum nahin dekh sakte
aankhon ki bosida shaKHon se phuTti haryawal
log nahin kahte
ki tum nahin sun sakte
tariki ka sarmast git
log nahin kahte
ki tum nahin chakh sakte
zaban mein jagte mawarai zaiqe
log nahin kahte
ki tum nahin sungh sakte
boson mein mahakti halawat
log nahin kahte
ki tum nahin chhu sakte
lahakti hawa ka badan
log nahin kahte
kuchh bhi nahin kahte
bas wo wahi sunna chahte hain
jo tum kahte ho
wo sunte hain aur
tum aur bhi sarpaT bhagne lagte ho
nai kahaniyon ki bu sunghte
parsai ke Dhol ki thap par
nachte nachte
tum saman bandh sakte ho
magar kaun dekhta hai
log to kab ke samaat mein Dhal chuke
sirf tumhaara dahana khula hai
mastur mohabbaton ke raaz ugalte ugalte
tum zaban se Tapakti ral ponchhna bhul gae ho
bachhon se kaf uDate uDate
ranon ke beach dam toDti KHwahishon ki gor-kani tumhaara muqaddar ho gai hai
dekh sakte ho to dekho
kahaniyon ke qadmon ki raftar mein
koi farq nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.