tum KHwab sahi
dīdār kā mausam hai
kho.e ho kahāñ jānāñ
peḌoñ pe chahakte haiñ
yādoñ ke hasīñ panchhī
har dhuup sunahrī hai
par jot abhī kam hai
maiñ chāñd se kyoñ pūchhūñ
kyā raat suhānī hai
tum ḳhud hī samajh lenā
shabnam kī sahar nam hai
tum ḳhvāb sahī lekin
ḳhat merā haqīqat hai
thak haar ke lauTā hai
aur is kā mujhe ġham hai
dīdār kā mausam hai
kho.e ho kahāñ jānāñ
didar ka mausam hai
khoe ho kahan jaanan
peDon pe chahakte hain
yaadon ke hasin panchhi
har dhup sunahri hai
par jot abhi kam hai
main chand se kyon puchhun
kya raat suhani hai
tum KHud hi samajh lena
shabnam ki sahar nam hai
tum KHwab sahi lekin
KHat mera haqiqat hai
thak haar ke lauTa hai
aur is ka mujhe gham hai
didar ka mausam hai
khoe ho kahan jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.