tum kis se milne aae ho
tum kis se milne aa.e ho
kis chehre se kaam hai tum ko
kin āñkhoñ se baat karoge
tum jo chehra dekh rahe ho
us meñ haiñ kitne hī chehre
jin ko lagā.e maiñ phirtā huuñ
tum kis se milnā chāhoge
us shā.ir se jis ko tum ne
dekhā hai stage pe aksar
sab ko bhūle ḳhud ko bhulā.e
badmastoñ kā bhes banā.e
jis ne falak par hukm chalā.e
sañg-e-malāmat jis par aa.e
mahfil kī mahfil jhuum uTThī
jis ne aise sher sunā.e
tum kis se milne aa.e ho
us lambe gore chehre se
jis par aag ke phuul khile haiñ
jo ik sīdhe qadam ko sambhāle
dil meñ saikḌoñ zaḳhm chhupā.e
apnī anā kī laash uThā.e
kam-zarfoñ kī is duniyā meñ
kitne yugoñ se sargardāñ hai
tum kis se milne aa.e ho
us insāñ se jis ke andar
ek qātil zaanī sāriq ke
tīnoñ chehre ek hue haiñ
lekin us ke haath bañdhe haiñ
pairoñ meñ zanjīreñ paḌī haiñ
aur vo qātil ab buzdil hai
aur vo zaanī ab shauhar hai
aur vo sāriq ab munsif hai
tum kis se milne aa.e ho
maiñ ḳhud apne aap se mil kar
pahroñ soch meñ paḌ jaatā huuñ
kis chehre se baat karūñ
tum kis se milne aae ho
kis chehre se kaam hai tum ko
kin aankhon se baat karoge
tum jo chehra dekh rahe ho
us mein hain kitne hi chehre
jin ko lagae main phirta hun
tum kis se milna chahoge
us shair se jis ko tum ne
dekha hai stage pe aksar
sab ko bhule KHud ko bhulae
badmaston ka bhes banae
jis ne falak par hukm chalae
sang-e-malamat jis par aae
mahfil ki mahfil jhum uTThi
jis ne aise sher sunae
tum kis se milne aae ho
us lambe gore chehre se
jis par aag ke phul khile hain
jo ek sidhe qadam ko sambhaale
dil mein saikDon zaKHm chhupae
apni ana ki lash uThae
kam-zarfon ki is duniya mein
kitne yugon se sargardan hai
tum kis se milne aae ho
us insan se jis ke andar
ek qatil zani sariq ke
tinon chehre ek hue hain
lekin us ke hath bandhe hain
pairon mein zanjiren paDi hain
aur wo qatil ab buzdil hai
aur wo zani ab shauhar hai
aur wo sariq ab munsif hai
tum kis se milne aae ho
main KHud apne aap se mil kar
pahron soch mein paD jata hun
kis chehre se baat karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.