tum maut aur mohabbat ki KHush-bu se bani ho
tum maut aur mohabbat kī ḳhush-bū se banī ho
maiñ
tumhārī ḳhushbū ko
reza reza sameTtī sāñsoñ se
sāya-dār jag.hoñ meñ jam.a ho jaane vaalī
maut kī ḳhushbū ko
tum apne shānoñ par khulā chhoḌ detī ho
aur mohabbat kī ḳhushbū ko
apne chehre par muskurātā rahne detī ho
maut kī ḳhushbū tumhārī āñkhoñ meñ jam.a ho jaatī hai
aur tum mujhe dekhte hue
apnī palkoñ ke saa.e gahre kar detī ho
mohabbat kī ḳhushbū un āñkhoñ meñ phailne lagtī hai
jo palkoñ ko jhapak lene ke ba.ad
kushāda hone lagtī haiñ
maiñ tumheñ ek
siyāh libās meñ dekhnā chāhtā huuñ
jis meñ se tum
fajar kī tarah tulūa ho sako
maiñ tumheñ ek
safed libās meñ dekhnā chāhtā huuñ
jis meñ maiñ
maut kī tarah ġhurūb ho sakūñ
tum maut aur mohabbat ki KHush-bu se bani ho
main
tumhaari KHushbu ko
reza reza sameTti sanson se
saya-dar jaghon mein jama ho jaane wali
maut ki KHushbu ko
tum apne shanon par khula chhoD deti ho
aur mohabbat ki KHushbu ko
apne chehre par muskuraata rahne deti ho
maut ki KHushbu tumhaari aankhon mein jama ho jati hai
aur tum mujhe dekhte hue
apni palkon ke sae gahre kar deti ho
mohabbat ki KHushbu un aankhon mein phailne lagti hai
jo palkon ko jhapak lene ke baad
kushada hone lagti hain
main tumhein ek
siyah libas mein dekhna chahta hun
jis mein se tum
fajar ki tarah tulua ho sako
main tumhein ek
safed libas mein dekhna chahta hun
jis mein main
maut ki tarah ghurub ho sakun
- Book : Mamnu'u Mausamon Ki Kitab (Pg. 36)
- Author : Syed Kashif Reza
- Publication : Scheherzade (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.