tum mera intizar mat karna
ab maiñ har shaam baaġh meñ jā kar
tum se chhup-chhup ke mil nahīñ saktī
kyūñki kahte haiñ log ye mujh se
maiñ huuñ ab manzil-e-javānī meñ
pahle kam-umr thī javān na thī
pahle mujh ko kisī kā ḳhauf na thā
ab maiñ Dartī huuñ ahl-e-duniyā se
is liye tum se mil nahīñ saktī
tum mirā intizār mat karnā
ab main har sham bagh mein ja kar
tum se chhup-chhup ke mil nahin sakti
kyunki kahte hain log ye mujh se
main hun ab manzil-e-jawani mein
pahle kam-umr thi jawan na thi
pahle mujh ko kisi ka KHauf na tha
ab main Darti hun ahl-e-duniya se
is liye tum se mil nahin sakti
tum mera intizar mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.