tum mujhe DhunDte rahe
aur maiñ tumheñ
is chhupan-chhupā.ī meñ
ham ye hī bhuul ga.e
ham kise DhūñDh rahe the
ek baar ham rāste meñ mile the
lekin tum ne mujhe nahīñ pahchānā
maiñ bhī bhuul ga.ī ki maiñ tum ko hī to talāsh kar rahī thī
ham talāsh ke ek hī dā.ere meñ ghūmte rahe
saarī zindagī guzar ga.ī
tum ko yaad ho
shāyad nahīñ
ham ek cafe meñ bhī mile the
aur ek saḌak par aur ek kamre meñ
aur ek ghar meñ
aur vahāñ jahāñ maiñ thak ga.ī thī
tum ko DhūñDte DhūñDhe
itnī itnī ki merī saañs phūlne lagī
haañ vahīñ maiñ ne irāda tark kar diyā
tumheñ DhūñDne kā
aur main tumhein
is chhupan-chhupai mein
hum ye hi bhul gae
hum kise DhunDh rahe the
ek bar hum raste mein mile the
lekin tum ne mujhe nahin pahchana
main bhi bhul gai ki main tum ko hi to talash kar rahi thi
hum talash ke ek hi daere mein ghumte rahe
sari zindagi guzar gai
tum ko yaad ho
shayad nahin
hum ek cafe mein bhi mile the
aur ek saDak par aur ek kamre mein
aur ek ghar mein
aur wahan jahan main thak gai thi
tum ko DhunDte DhunDhe
itni itni ki meri sans phulne lagi
han wahin main ne irada tark kar diya
tumhein DhunDne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.