tum mujhe yaad aaogi
bichhaḌte vaqt
us ne kahā thā
suno tum mujhe yaad aaogī
jab kabhī
sāhil samundar par
nañge paañv chalte hue
samundar kī āġhosh meñ
Dūbte sūraj ke manzar kā pīlā-pan
āñkhoñ meñ utregā
tum mujhe yaad aaogī
jab kabhī
barsātoñ kī añdherī rātoñ meñ
dil ke kisī goshe meñ
ik halkī sī aahaT pā kar
yādeñ gahrī niiñd se jāgeñgī
tum mujhe yaad aaogī
jab kabhī ziist ke kisī moḌ par
kisī ġham-gusār kisī jāñ-nisār se
kuchh kahne sunñe kā man chāhegā
jab kabhī
dil ye chāhegā ki
kisī hamdam kisī mahbūb kī chāhat meñ is duniyā ko chhoḌ de
tum mujhe yaad aaogī
jab kabhī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
ye ḳhvāhish dar-dil pe dastak degī ki
saath ik sāthī ho
jis kī bātoñ meñ jis kī sāñsoñ meñ
ik anokhī garmī ho
chāhatoñ kī hiddat ho
tum mujhe yaad aaogī
is se maiñ us se kyā kahtī
mā-sivā.e is ke ki
tumheñ yaad aane ke liye
kisī havāle kisī mausam kisī manzar kī hājat kī
kisī bhī vāste kī zarūrat nahīñ
dil kī dhaḌkan har ghaḌī har pal
saath chaltī hai
saath rahtī hai
aur tum mere dil kī dhaḌkan ho
jo chaah kar bhī ruk nahīñ saktī
maiñ tum ko bhuul nahīñ saktī
bichhaDte waqt
us ne kaha tha
suno tum mujhe yaad aaogi
jab kabhi
sahil samundar par
nange panw chalte hue
samundar ki aaghosh mein
Dubte suraj ke manzar ka pila-pan
aankhon mein utrega
tum mujhe yaad aaogi
jab kabhi
barsaton ki andheri raaton mein
dil ke kisi goshe mein
ek halki si aahaT pa kar
yaaden gahri nind se jagengi
tum mujhe yaad aaogi
jab kabhi zist ke kisi moD par
kisi gham-gusar kisi jaan-nisar se
kuchh kahne sunne ka man chahega
jab kabhi
dil ye chahega ki
kisi hamdam kisi mahbub ki chahat mein is duniya ko chhoD de
tum mujhe yaad aaogi
jab kabhi sardiyon ki shamon mein
ye KHwahish dar-dil pe dastak degi ki
sath ek sathi ho
jis ki baaton mein jis ki sanson mein
ek anokhi garmi ho
chahaton ki hiddat ho
tum mujhe yaad aaogi
is se main us se kya kahti
ma-siwae is ke ki
tumhein yaad aane ke liye
kisi hawale kisi mausam kisi manzar ki hajat ki
kisi bhi waste ki zarurat nahin
dil ki dhaDkan har ghaDi har pal
sath chalti hai
sath rahti hai
aur tum mere dil ki dhaDkan ho
jo chah kar bhi ruk nahin sakti
main tum ko bhul nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.