tumne use kahan dekha hai
kabhī tum ne dekhā hai
ḳhvāboñ se aage kā manzar
jahāñ chāñd tāroñ se rūThī huī
raat apne barahna badan par
siyah raakh mal kar
alaav ke chāroñ taraf nāchtī hai!
kabhī tum ne jhāñkā hai
palkoñ ke pīchhe
thakī niilī āñkhoñ ke andar
jahāñ āsmānoñ kī saarī udāsī
ḳhalā-dar-ḳhalā tairtī hai
kabhī tum ne ik din guzārā hai
rastoñ ke donoñ taraf īstāda
ghane sabz peḌoñ ke nīche
jahāñ dhuup apne liye
rāsta DhūñDhtī hai!
kabhī tum ne pūchhā hai
chalte hue rāste meñ
kisī ajnabī se
patā us ke ghar kā
havā jis ke qadmoñ ke miTte nishāñ chūmtī hai
nagar-dar-nagar ghūmtī hai!!
kabhi tum ne dekha hai
KHwabon se aage ka manzar
jahan chand taron se ruThi hui
raat apne barahna badan par
siyah rakh mal kar
alaw ke chaaron taraf nachti hai!
kabhi tum ne jhanka hai
palkon ke pichhe
thaki nili aankhon ke andar
jahan aasmanon ki sari udasi
KHala-dar-KHala tairti hai
kabhi tum ne ek din guzara hai
raston ke donon taraf istada
ghane sabz peDon ke niche
jahan dhup apne liye
rasta DhunDhti hai!
kabhi tum ne puchha hai
chalte hue raste mein
kisi ajnabi se
pata us ke ghar ka
hawa jis ke qadmon ke miTte nishan chumti hai
nagar-dar-nagar ghumti hai!!
- Book : Pani mein gum khawab (Pg. 19)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Sanjh Publications Pakistan (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.