tum sach mein bahut achchhi ho
tumhārā ye pyaar bharā jumla
mujhe zindagī jiinā āsān banātā hai
merī kum.hlā.ī huī zindagī ko
tar-o-tāzgī sī baḳhshtā hai
tumhāre pyaar bhare alfāz
kānoñ meñ ras gholne lagte haiñ
āñkhoñ meñ ik chamak sī aa jaatī hai
hoñToñ pe muskān chhā jaatī hai
tum jab bhī mujh se ye kahte ho ki
tum sach meñ bahut achchhī ho
merī be-jān sī ruuh meñ jaan aa jaatī hai
maiñ apnā dukh-dard bhuul jaatī huuñ
apnī hī zaat ke gumbad meñ qaid
chahakne lagtī huuñ mahakne lagtī huuñ
tum jab bhī mujh se ye kahte ho ki
tum sach meñ bahut achchhī ho
tumhārī yaad meñ khoī khoī sī
tumhāre pyaar kī ḳhushbū se mo.attar
maiñ lamhoñ meñ sadiyāñ jī letī huuñ
haañ lamhoñ meñ sadiyāñ jī letī huuñ
aur phir maiñ sochne lagtī huuñ
mujhe aisā lagtā hai ki
gar maiñ bahut achchhī huuñ to
mujhe dekhne vaalī vo āñkheñ
dar-asl behad dilkash haiñ
vo dil jis meñ maiñ bastī huuñ
be-intihā ḳhūbsūrat hai
mujhe jiine kā hausla dene vaalī
tumhārī pyaar bharī soch
sach meñ bahut achchhī hai
sach to ye hai ki
maiñ nahīñ tum bahut achchhe ho
tum sach meñ bahut achchhe ho
haañ tum bahut hī achchhe ho
tumhaara ye pyar bhara jumla
mujhe zindagi jina aasan banata hai
meri kumhlai hui zindagi ko
tar-o-tazgi si baKHshta hai
tumhaare pyar bhare alfaz
kanon mein ras gholne lagte hain
aankhon mein ek chamak si aa jati hai
honTon pe muskan chha jati hai
tum jab bhi mujh se ye kahte ho ki
tum sach mein bahut achchhi ho
meri be-jaan si ruh mein jaan aa jati hai
main apna dukh-dard bhul jati hun
apni hi zat ke gumbad mein qaid
chahakne lagti hun mahakne lagti hun
tum jab bhi mujh se ye kahte ho ki
tum sach mein bahut achchhi ho
tumhaari yaad mein khoi khoi si
tumhaare pyar ki KHushbu se moattar
main lamhon mein sadiyan ji leti hun
han lamhon mein sadiyan ji leti hun
aur phir main sochne lagti hun
mujhe aisa lagta hai ki
gar main bahut achchhi hun to
mujhe dekhne wali wo aankhen
dar-asl behad dilkash hain
wo dil jis mein main basti hun
be-intiha KHubsurat hai
mujhe jine ka hausla dene wali
tumhaari pyar bhari soch
sach mein bahut achchhi hai
sach to ye hai ki
main nahin tum bahut achchhe ho
tum sach mein bahut achchhe ho
han tum bahut hi achchhe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.