tum se
ek āñchal hai
jo phailā hai ufuq-tā-ba-ufuq
ek saaya hai jo chhāyā hai dil-e-vahshī par
naġhmagī ek tarah phūTtī rahtī hai kahīñ
ḳhāmushī rang liye ghūmtī rahtī hai kahīñ
DhūñDhtā rahtā huuñ
lahjoñ meñ kabhī hāthoñ meñ
DhūñDhtā rahtā huuñ
ḳhushbū meñ
kabhī chāñdnī rātoñ meñ tujhe
tujh ko pā.ūñ to bahut dil ko sukūñ aa.egā
tujh se mil lūñgā to kirnoñ meñ badal jā.ūñgā
ek aanchal hai
jo phaila hai ufuq-ta-ba-ufuq
ek saya hai jo chhaya hai dil-e-wahshi par
naghmagi ek tarah phuTti rahti hai kahin
KHamushi rang liye ghumti rahti hai kahin
DhunDhta rahta hun
lahjon mein kabhi hathon mein
DhunDhta rahta hun
KHushbu mein
kabhi chandni raaton mein tujhe
tujh ko paun to bahut dil ko sukun aaega
tujh se mil lunga to kirnon mein badal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.