tum se katra ke nikalne ka sabab hai koi
tum se katrā ke nikalne kā sabab hai koī
mil ke tum se
baḌī tanhā.ī sī ho jaatī hai
ghar talak saath
ik aahaT sī chalī aatī hai
sab kivāḌoñ ko irādoñ ko
muqaffal kar lo
par ye aahaT hai ki
dīvāroñ se chhan aatī hai
ḳhaak uḌā kartī hai
jis sahn meñ sannāTe kī
vaañ ajab shauq kā darbār lagā hotā hai
raqs kartī hai mire paañv tale
merī zamīñ
hosh kī bazm meñ
mai-ḳhāna sajā hotā hai
qufl saare mire ehsās ke
sab zanjīreñ
naam lete haiñ kabhī jaam ko Takrāte haiñ
ḳhvāb mere
mujhe samjhāne chale aate haiñ
do ghaḌī meñ mirā har kaam ulaT jaatā hai
is qadar shor machāte haiñ
ye lamhāt-e-tarab
dhyān pallū se bañdhī
soch se haT jaatā hai
ḳhud ko tartīb se rakhne meñ uThāne meñ mujhe
mil ke har baar
baḌā vaqt bhī lag jaatā hai
tum se rishta to koī thā
na hī ab hai koī
tum se katrā ke nikalne kā sabab hai koī
tum se katra ke nikalne ka sabab hai koi
mil ke tum se
baDi tanhai si ho jati hai
ghar talak sath
ek aahaT si chali aati hai
sab kiwaDon ko iradon ko
muqaffal kar lo
par ye aahaT hai ki
diwaron se chhan aati hai
KHak uDa karti hai
jis sahn mein sannaTe ki
wan ajab shauq ka darbar laga hota hai
raqs karti hai mere panw tale
meri zamin
hosh ki bazm mein
mai-KHana saja hota hai
qufl sare mere ehsas ke
sab zanjiren
nam lete hain kabhi jam ko Takraate hain
KHwab mere
mujhe samjhane chale aate hain
do ghaDi mein mera har kaam ulaT jata hai
is qadar shor machate hain
ye lamhat-e-tarab
dhyan pallu se bandhi
soch se haT jata hai
KHud ko tartib se rakhne mein uThane mein mujhe
mil ke har bar
baDa waqt bhi lag jata hai
tum se rishta to koi tha
na hi ab hai koi
tum se katra ke nikalne ka sabab hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.