tum to bachche nahin
tum maro
tum to bachche nahīñ
tum to masjid ke qaidī ho qur.ān paḌte raho
sajde karte raho
ye jo paikar tumhārā hai is meñ lahū kī jagah zahr hai
ye jo mandir meñ bachche humakte haiñ bachche nahīñ
ye kalīsā meñ be-dāġh bachche bhī bachche nahīñ
ye jo maslak kī khetī meñ khulte haiñ bachche ye bachche nahīñ
apne pomī ko dekh aa.uuñ maiñ
call aa.ī hai schōl se
nannhī bachchī se laḌte hue gir paḌā hai vahāñ
aur ab kuchh ḳharāshoñ se behosh hai
ghar meñ lā kar use
ek taqrīb meñ bhī pahuñchnā hai jaldī mujhe
aur paḌhnā hai mazmūn jis kā hai unvāñ hamārī na.ī nasl ke ḳhvāb parvān kaise chaḌheñ
tum maro
tum to bachche nahin
tum to masjid ke qaidi ho quran paDte raho
sajde karte raho
ye jo paikar tumhaara hai is mein lahu ki jagah zahr hai
ye jo mandir mein bachche humakte hain bachche nahin
ye kalisa mein be-dagh bachche bhi bachche nahin
ye jo maslak ki kheti mein khulte hain bachche ye bachche nahin
apne pomi ko dekh aaun main
call aai hai school se
nannhi bachchi se laDte hue gir paDa hai wahan
aur ab kuchh KHarashon se behosh hai
ghar mein la kar use
ek taqrib mein bhi pahunchna hai jaldi mujhe
aur paDhna hai mazmun jis ka hai unwan hamari nai nasl ke KHwab parwan kaise chaDhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.