tum
tum maiñ se kitne muḳhtalif ho
ye sirf maiñ jāntā huuñ
is jānñe ke amal meñ mujhe maiñ ko na-jāne kitnī martaba tum karnā paḌā
tāham afsos ye hai
ki maiñ aur tum ke is khel meñ
maiñ ke paas maiñ nahīñ sirf tum hī bachā hai
adam-e-shanāḳht ek baḌā dukh hai
aur log use mohabbat ke naam se mansūb kar ke shā'iroñ ke liye īñdhan tayyār karte haiñ
tāham ye baat maiñ ko tab samajh aa.ī
jab us ke ek haath meñ mohabbat aur dūsre haath meñ maiñ kī āḳhirī chingārī thī
tum main se kitne muKHtalif ho
ye sirf main jaanta hun
is jaanne ke amal mein mujhe main ko na-jaane kitni martaba tum karna paDa
taham afsos ye hai
ki main aur tum ke is khel mein
main ke pas main nahin sirf tum hi bacha hai
adam-e-shanaKHt ek baDa dukh hai
aur log use mohabbat ke nam se mansub kar ke sha'iron ke liye indhan tayyar karte hain
taham ye baat main ko tab samajh aai
jab us ke ek hath mein mohabbat aur dusre hath mein main ki aaKHiri chingari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.