tum
aao ek raat ki pahan luuñ tumheñ
apne tan par libās kī mānind
tum ko siine pe rakh ke so jā.ūñ
āsmānī kitāb kī mānind
aur tire harf jān-e-jāñ aise
phir mirī ruuh meñ utar jaa.eñ
jaise paiġhambaroñ ke siine par
koī sachchī vahī utartī hai
aao ek raat ki pahan lun tumhein
apne tan par libas ki manind
tum ko sine pe rakh ke so jaun
aasmani kitab ki manind
aur tere harf jaan-e-jaan aise
phir meri ruh mein utar jaen
jaise paighambaron ke sine par
koi sachchi wahi utarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.