tumhaara aastan malum hoti hai
kabhī rāhat kabhī āzār-e-jāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat ek paiham imtihāñ ma.alūm hotī hai
jo tum rūThe bahār-e-zindagī bhī phir ga.ī mujh se
naved-e-gul bhī paiġhām-e-ḳhizāñ ma.alūm hotī hai
fareb-e-ārzū ne kar diyā gum-gashta-e-manzil
ki gard-e-rāh bhī sang-e-nishāñ ma.alūm hotī hai
sar-e-sajda jhukāyā is qadar shauq-e-ibādat ne
jabīñ merī tumhārā āstāñ ma.alūm hotī hai
kuchh aise bas ga.e ho dil meñ āñkhoñ meñ tasavvur meñ
ki do qālib haiñ lekin ek jaañ ma.alūm hotī hai
kabhī rūh-e-tarab raqsāñ nazar aatī thī kāñToñ meñ
nashāt-e-gul bhī ab āzār-e-jāñ ma.alūm hotī hai
na chheḌ ai ham-nashīñ itnā alam-añgez afsāna
ki suntā huuñ to apnī dāstāñ ma.alūm hotī hai
kabhi rahat kabhi aazar-e-jaan malum hoti hai
mohabbat ek paiham imtihan malum hoti hai
jo tum ruThe bahaar-e-zindagi bhi phir gai mujh se
nawed-e-gul bhi paigham-e-KHizan malum hoti hai
fareb-e-arzu ne kar diya gum-gashta-e-manzil
ki gard-e-rah bhi sang-e-nishan malum hoti hai
sar-e-sajda jhukaya is qadar shauq-e-ibaadat ne
jabin meri tumhaara aastan malum hoti hai
kuchh aise bas gae ho dil mein aankhon mein tasawwur mein
ki do qalib hain lekin ek jaan malum hoti hai
kabhi ruh-e-tarab raqsan nazar aati thi kanTon mein
nashat-e-gul bhi ab aazar-e-jaan malum hoti hai
na chheD ai ham-nashin itna alam-angez afsana
ki sunta hun to apni dastan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.