tumhaara sath
har lamha badaltī duniyā meñ
ik saath tumhārā thā lekin
vo saath kabhī kā chhūT gayā
jab saath tumhārā hogā
tab
bārish hogī
aur phuul khileñge rāhoñ meñ
aur dil meñ phir halchal hogī
tab duniyā chāhe kitnī badle
bāhar ho jitnā añdhiyārā
andar se kirneñ phūTeñgī
andar se mausam badlegā
har lamha badalti duniya mein
ek sath tumhaara tha lekin
wo sath kabhi ka chhuT gaya
jab sath tumhaara hoga
tab
barish hogi
aur phul khilenge rahon mein
aur dil mein phir halchal hogi
tab duniya chahe kitni badle
bahar ho jitna andhiyara
andar se kirnen phuTengi
andar se mausam badlega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.