tumhaare aane ke baad
tumhāre aane se pahle
kunjī taale meñ
ghūmtī hai
tumhāre dāḳhil hone kī āvāz aatī hai
tum dhamāke-dār paañv
rakhte hue
āhista se yā kabhī tezī se
kamre meñ kahīñ kisī taraf
jaate hue
phir thoḌī dair tak
vahīñ khaḌe rahte ho
shāyad mere sākit jism ko
dekhte ho
jo tumhārī harakat kī āvāz par
kaan lagā.e paḌā hotā hai
kabhī be-ḳhabarī meñ
kabhī āgāh
phir tum paanī piite ho
yā nahīñ piite
thoḌe vaqfe tak
ḳhāmoshī rahtī hai
ghaḌī kī Tik Tik ke darmiyān
tumhāre nivāle chabāne kī āvāz
sunā.ī detī hai
aur kabhī ye āvāz mere jism ke
gard ghūmne lagtī hai
aur meñ be-ḳhabar
aur kabhī āgāh
tumhārī nivāle chabāne kī āvāz meñ
shāmil ho jaatī huuñ
tumhaare aane se pahle
kunji tale mein
ghumti hai
tumhaare daKHil hone ki aawaz aati hai
tum dhamake-dar panw
rakhte hue
aahista se ya kabhi tezi se
kamre mein kahin kisi taraf
jate hue
phir thoDi dair tak
wahin khaDe rahte ho
shayad mere sakit jism ko
dekhte ho
jo tumhaari harakat ki aawaz par
kan lagae paDa hota hai
kabhi be-KHabari mein
kabhi aagah
phir tum pani pite ho
ya nahin pite
thoDe waqfe tak
KHamoshi rahti hai
ghaDi ki Tik Tik ke darmiyan
tumhaare niwale chabane ki aawaz
sunai deti hai
aur kabhi ye aawaz mere jism ke
gard ghumne lagti hai
aur mein be-KHabar
aur kabhi aagah
tumhaari niwale chabane ki aawaz mein
shamil ho jati hun
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 80)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.