tumhaare baad
qamīz ulTī pahan letā huuñ vahshat meñ
kabhī juutā nahīñ miltā
ka.ī rangoñ ke moze haiñ magar achchhe nahīñ lagte
udhaḌtī jā rahī hai shirt jīvan kī tarah
gardan se le kar āstīnoñ tak
bichhaḌne se zarā pahle
jo tāriq road se ham ne ḳharīdī thī
tumhāre baa'd kaifiyyat badaltī jā rahī hai rakh-rakhāv kī
patā chaltā nahīñ kuchh din guzarne kā na mausam ke badalne kā
tumhāre haath se likkhe hue ḳhat paḌhtā rahtā huuñ
lifāfe par ḳhud apnā naam likh kar post kar detā huuñ dobāra
aur is ke baa'd din-bhar Dākiye kī raah taktā huuñ
qamiz ulTi pahan leta hun wahshat mein
kabhi juta nahin milta
kai rangon ke moze hain magar achchhe nahin lagte
udhaDti ja rahi hai shirt jiwan ki tarah
gardan se le kar aastinon tak
bichhaDne se zara pahle
jo tariq road se hum ne KHaridi thi
tumhaare ba'd kaifiyyat badalti ja rahi hai rakh-rakhaw ki
pata chalta nahin kuchh din guzarne ka na mausam ke badalne ka
tumhaare hath se likkhe hue KHat paDhta rahta hun
lifafe par KHud apna nam likh kar post kar deta hun dobara
aur is ke ba'd din-bhar Dakiye ki rah takta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.