tumhaare baad ka mausam
tumhāre baad kā mausam
tumhāre saath ke mausam se kitnā muḳhtalif Thahrā
agarche raah meñ merī faqat kāñTe hī kāñTe the
mire dukh tum ne bāñTe the
ye sab kuchh Thiik jaisā thā
maiñ tum se duur thā lekin bahut nazdīk jaisā thā
magar dil ko tasallī thī ki āḳhir mil hī jā.eñge
hamārī hasratoñ ke phuul ik din khil hī jā.eñge
tum aksar mujh se kahtī thiiñ
tumhāre qurb ke lamhe mujhe masrūr kar deñge
añdherā hī añdherā huuñ sarāpā nuur kar deñge
magar ye ho nahīñ paayā
so phir kuchh is tarah bikhrā mirī ḳhushiyoñ kā sarmāya
sidhāre us jahāñ ko tum
jahāñ se aaj tak koī na aaya hai na aa.egā
magar jab koī bhī email aatā hai
koī bhī phone kī ghanTī achānak jab bhī bajtī hai
to us āvāz aur harfoñ se jo tasvīr bantī hai
tumhārī jaisī hotī hai
magar vo tum nahīñ hotīñ
tumhaare baad ka mausam
tumhaare sath ke mausam se kitna muKHtalif Thahra
agarche rah mein meri faqat kanTe hi kanTe the
mere dukh tum ne banTe the
ye sab kuchh Thik jaisa tha
main tum se dur tha lekin bahut nazdik jaisa tha
magar dil ko tasalli thi ki aaKHir mil hi jaenge
hamari hasraton ke phul ek din khil hi jaenge
tum aksar mujh se kahti thin
tumhaare qurb ke lamhe mujhe masrur kar denge
andhera hi andhera hun sarapa nur kar denge
magar ye ho nahin paya
so phir kuchh is tarah bikhra meri KHushiyon ka sarmaya
sidhaare us jahan ko tum
jahan se aaj tak koi na aaya hai na aaega
magar jab koi bhi email aata hai
koi bhi phone ki ghanTi achanak jab bhi bajti hai
to us aawaz aur harfon se jo taswir banti hai
tumhaari jaisi hoti hai
magar wo tum nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.