tumhaare baad
tumhāre ba.ad ajab kashmakash meñ rahtī huuñ
maiñ kyā batā.ūñ ke jo talḳhiyāñ maiñ sahtī huuñ
nizām-e-zindagī badlā huā sā lagtā hai
ki lamha lamha mujhe ba-duā sā lagtā hai
vo log jin ke liye maiñ kabhī mubārak thī
ab un ke vāste maiñ ek fel-e-bad jaisī
ke ḳhud pe bhī mujhe kuchh haq nahīñ rahā jaise
hañsī-ḳhushī kā zamāna bichhaḌ gayā jaise
akelā-pan bhī hiqārat se dekhtā hai mujhe
jise bhī dekhiye hairat se dekhtā hai mujhe
kī jaise haq hī nahīñ koī mujh ko jiine kā
kisī ko zaḳhm nahīñ dikh rahā hai siine kā
mire vajūd meñ tanhā.ī kaisī gūñjī hai
udāsiyāñ hī tire ba.ad merī pūñjī hai
ye merī bevgī koī gunāh ho jaise
har ik nigāh mujhe dekhtī hai ab aise
ke jaise haath meñ mere mirā muqaddar thā
vo sāneha bhī koī jaise jurm thā merā
kyā merā naata bhī koī samāj se na rahā
kyā merā vāsta rasm-o-rivāj se na rahā
mirā vajūd hī ḳhud mujh pe tanz kartā hai
ye merā saaya bhī kyuuñ aaj mujh se Dartā hai
mirā har apnā bhī manhūs kah rahā hai mujhe
mire is haal kā shāyad hī kuchh pata ho tujhe
tumhaare baad ajab kashmakash mein rahti hun
main kya bataun ke jo talKHiyan main sahti hun
nizam-e-zindagi badla hua sa lagta hai
ki lamha lamha mujhe ba-dua sa lagta hai
wo log jin ke liye main kabhi mubarak thi
ab un ke waste main ek fel-e-bad jaisi
ke KHud pe bhi mujhe kuchh haq nahin raha jaise
hansi-KHushi ka zamana bichhaD gaya jaise
akela-pan bhi hiqarat se dekhta hai mujhe
jise bhi dekhiye hairat se dekhta hai mujhe
ki jaise haq hi nahin koi mujh ko jine ka
kisi ko zaKHm nahin dikh raha hai sine ka
mere wajud mein tanhai kaisi gunji hai
udasiyan hi tere baad meri punji hai
ye meri bewgi koi gunah ho jaise
har ek nigah mujhe dekhti hai ab aise
ke jaise hath mein mere mera muqaddar tha
wo saneha bhi koi jaise jurm tha mera
kya mera nata bhi koi samaj se na raha
kya mera wasta rasm-o-riwaj se na raha
mera wajud hi KHud mujh pe tanz karta hai
ye mera saya bhi kyun aaj mujh se Darta hai
mera har apna bhi manhus kah raha hai mujhe
mere is haal ka shayad hi kuchh pata ho tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.