tumhaare baghair
ye māh-o-sāl kī gardish ye merī tanhā.ī
ye zindagī kā safar aur ye ābla-pā.ī
bahut hasīñ hai ye manzar magar tumhāre baġhair
mire vajūd pe har dam hai murdanī chhā.ī
agarche aam hai fitrat kā husn har jānib
mire liye to kashish is meñ hai na zebā.ī
ye kā.enāt-o-kavākib ye kahkashāñ ye shahāb
zamīn kā ye tasalsul falak kī pahnā.ī
bulandī koh kī sahrā kī be-karāñ vus.at
nadī kā shor ho yā bahr kī ho gahrā.ī
nasheb-e-koh meñ sabze kā maḳhmalīñ bistar
shafaq kā surḳh libāda guloñ kī ra.anā.ī
javār-e-sahn-e-gulistāñ meñ āhuoñ kā ḳhirām
chaman meñ shoḳh anādil kī naġhma-ārā.ī
shah-e-nujūm kī aamad kī dil-pazīr ḳhabar
nasīm-e-sub.h galī kūchoñ meñ sunā aa.ī
kiran kā phūTnā mashriq se bā-sahar-hañgām
sukūt-e-shab meñ sitāroñ kī bazm-ārā.ī
vo mai-kade meñ sar-e-shām mai-kashoñ kā hujūm
pilā.e jaam vo saaqī ne sab kī ban aa.ī
hasīn raat kī sohbat sabā kī sargoshī
urūs-e-māh chhupī bādaloñ meñ sharmā.ī
jahāñ bhī husn kī jalva-numā.iyāñ dekhīñ
tumhārī yaad mirī jaan be-hisāb aa.ī
ye mah-o-sal ki gardish ye meri tanhai
ye zindagi ka safar aur ye aabla-pai
bahut hasin hai ye manzar magar tumhaare baghair
mere wajud pe har dam hai murdani chhai
agarche aam hai fitrat ka husn har jaanib
mere liye to kashish is mein hai na zebai
ye kaenat-o-kawakib ye kahkashan ye shahab
zamin ka ye tasalsul falak ki pahnai
bulandi koh ki sahra ki be-karan wusat
nadi ka shor ho ya bahr ki ho gahrai
nasheb-e-koh mein sabze ka maKHmalin bistar
shafaq ka surKH libaada gulon ki ranai
jawar-e-sahn-e-gulistan mein aahuon ka KHiram
chaman mein shoKH anadil ki naghma-arai
shah-e-nujum ki aamad ki dil-pazir KHabar
nasim-e-subh gali kuchon mein suna aai
kiran ka phuTna mashriq se ba-sahar-hangam
sukut-e-shab mein sitaron ki bazm-arai
wo mai-kade mein sar-e-sham mai-kashon ka hujum
pilae jam wo saqi ne sab ki ban aai
hasin raat ki sohbat saba ki sargoshi
urus-e-mah chhupi baadalon mein sharmai
jahan bhi husn ki jalwa-numaiyan dekhin
tumhaari yaad meri jaan be-hisab aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.