tumhaare dard ko apne upar lene ke liye
maiñ mahsūs kar saktī huuñ
tumhāre dard ko
apne jism meñ utarte hue
magar yaqīn nahīñ kar paatī
ki ye tumhārā hī dard hai
ghaḌī kī Tik-Tik ke saath
maiñ sochtī rahtī huuñ
tumhāre bistar ke gird chakkar lagā kar
maiñ is dard ko apne uupar lene ke liye
kyā kyā qurbān kar saktī huuñ
jismānī rāhateñ
samājī murā.āt
jazbātī masarrateñ
zehnī latāfateñ
yā puurī zindagī bhī
jo bahut qīmtī hai
aur mujhe bahut pyārī
main mahsus kar sakti hun
tumhaare dard ko
apne jism mein utarte hue
magar yaqin nahin kar pati
ki ye tumhaara hi dard hai
ghaDi ki Tik-Tik ke sath
main sochti rahti hun
tumhaare bistar ke gird chakkar laga kar
main is dard ko apne upar lene ke liye
kya kya qurban kar sakti hun
jismani rahaten
samaji muraat
jazbaati masarraten
zehni latafaten
ya puri zindagi bhi
jo bahut qimti hai
aur mujhe bahut pyari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.