tumhaare hijr ke moti
tumhāre hijr ke motī
abhī palkoñ pe rakkhe haiñ
ajab ik ḳhauf se har dam khulī rakhtī huuñ maiñ āñkheñ
gire to TuuT bikhreñge
tumhāre hijr ke motī
abhī palkoñ pe rakhe haiñ
yahāñ gunjān rastoñ par
yahāñ pur-pech galiyoñ meñ
judā.ī raqs kartī hai
chale aao to achchhā hai
ki ab to thak chukīñ āñkheñ
tumhāre hijr ke motī
abhī palkoñ pe rakkhe haiñ
yahāñ kuchh bhī nahīñ badlā
usī pahle tarīqe se tumhārī muntazir āñkheñ
lagī rahtī haiñ chaukhaT se
koī aahaT nahīñ hotī
koī saaya nahīñ dikhtā
zarā sī jhurjhurī le kar
maiñ āñkheñ khol detī huuñ
ajab ik ḳhauf se har dam
khulī rakhtī huuñ maiñ āñkheñ
tumhaare hijr ke moti
abhi palkon pe rakkhe hain
ajab ek KHauf se har dam khuli rakhti hun main aankhen
gire to TuT bikhrenge
tumhaare hijr ke moti
abhi palkon pe rakhe hain
yahan gunjaan raston par
yahan pur-pech galiyon mein
judai raqs karti hai
chale aao to achchha hai
ki ab to thak chukin aankhen
tumhaare hijr ke moti
abhi palkon pe rakkhe hain
yahan kuchh bhi nahin badla
usi pahle tariqe se tumhaari muntazir aankhen
lagi rahti hain chaukhaT se
koi aahaT nahin hoti
koi saya nahin dikhta
zara si jhurjhuri le kar
main aankhen khol deti hun
ajab ek KHauf se har dam
khuli rakhti hun main aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.