tumhaare nam likhta hun
sunahrī dhuup kā manzar
ga.e mausam kī shādābī
shafaq kī reshmī girheñ
chāñd ke pahlū meñ lipTī sabz shāḳheñ
kisī TuuTe hue taare kī dhundlī sī lakīreñ
naqsh jin ke ret par bahte rahe barsoñ
safar kī dā.imī ḳhushbū
maiñ jis kī aarzū le kar tumhāre paas aayā thā
kitāb-e-dil kī vo dhaḌkan
tumhāre naam likhtā huuñ
paroñ par titliyoñ ke tairtī sargam
jo lafzoñ meñ kabhī Dhalne na paa.ī
vo maddham saaz kī jumbish
ujāle sub.h ke dastak havāoñ kī
maiñ apnī soch kī TeḌhī lakīreñ
jo kabhī aa.iiñ sadā ban kar
ḳhalā ban kar jo lauTī haiñ
kisī be-nām sahrā meñ
tumhāre naam likhtā huuñ
guzartī sā.atoñ kī talḳhiyāñ ra.anā.iyāñ
āvārgī apnī
tilism-e-āgahī ke ḳhvāb paikar
phuul titlī rang bārish qahqahe
ḳhazāne lafz-o-ma.anī ke
salīqe guftugū ke
narm lahje kī ravāñ lahreñ
mohabbat kī purānī dāstāñ
tum ne kahī maiñ ne sunī
maiñ ne kahī tum ne sunī
tumhāre naam likhtā huuñ
mujhe ab surḳh-rū kar do
mire sab ḳhvāb chorī ho ga.e haiñ
ḳhvāb kī manzil nayā ik ḳhvāb hai
mire dāman meñ ḳhvābīda
na jaane kitne ḳhāke kitne naqshe
āḳhirī sāñsoñ pe haiñ
tasvīr un ḳhvāboñ kī ab maiñ sauñp kar tujh ko
nayā ik baab likhtā huuñ
tumhāre naam likhtā huuñ
sunahri dhup ka manzar
gae mausam ki shadabi
shafaq ki reshmi girhen
chand ke pahlu mein lipTi sabz shaKHen
kisi TuTe hue tare ki dhundli si lakiren
naqsh jin ke ret par bahte rahe barson
safar ki daimi KHushbu
main jis ki aarzu le kar tumhaare pas aaya tha
kitab-e-dil ki wo dhaDkan
tumhaare nam likhta hun
paron par titliyon ke tairti sargam
jo lafzon mein kabhi Dhalne na pai
wo maddham saz ki jumbish
ujale subh ke dastak hawaon ki
main apni soch ki TeDhi lakiren
jo kabhi aain sada ban kar
KHala ban kar jo lauTi hain
kisi be-nam sahra mein
tumhaare nam likhta hun
guzarti saaton ki talKHiyan ranaiyan
aawargi apni
tilism-e-agahi ke KHwab paikar
phul titli rang barish qahqahe
KHazane lafz-o-mani ke
saliqe guftugu ke
narm lahje ki rawan lahren
mohabbat ki purani dastan
tum ne kahi main ne suni
main ne kahi tum ne suni
tumhaare nam likhta hun
mujhe ab surKH-ru kar do
mere sab KHwab chori ho gae hain
KHwab ki manzil naya ek KHwab hai
mere daman mein KHwabida
na jaane kitne KHake kitne naqshe
aaKHiri sanson pe hain
taswir un KHwabon ki ab main saunp kar tujh ko
naya ek bab likhta hun
tumhaare nam likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.