tumhaare phul taza hain
tumhāre phuul taaza haiñ
mirī sab uñgliyoñ par ug rahe haiñ
aur ye shāḳheñ
ye merī uñgliyāñ
kaisī harī haiñ
in kī shiryānoñ meñ bahtā rañg
phūloñ ke laboñ se bah rahā hai
qatra qatra
ek be-mausam kahānī kah rahā hai
tumhaare phul taza hain
meri sab ungliyon par ug rahe hain
aur ye shaKHen
ye meri ungliyan
kaisi hari hain
in ki shiryanon mein bahta rang
phulon ke labon se bah raha hai
qatra qatra
ek be-mausam kahani kah raha hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 152)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.