tumhaari aankhen shararti hain
tumhārī āñkheñ sharārtī haiñ
tum apne pīchhe chhupe hue ho
baġhaur dekhūñ tumheñ to mujh ko
sharāratoñ par ubhārtī haiñ
tumhārī āñkheñ sharārtī haiñ
lahū ko sho.ala-ba-dast kar deñ
ye pattharoñ ko bhī mast kar deñ
hayāt kī sūkhtī rutoñ meñ
bahār kā band-o-bast kar deñ
kabhī gulābī kabhī sunahrī
samundaroñ se ziyāda gahrī
tahoñ meñ apnī utārtī haiñ
tumhārī āñkheñ sharārtī haiñ
hayā bhī hai un meñ shoḳhiyāñ bhī
ye raaz bhī apnī tarjumāñ bhī
riyāsat-e-husn-o-ishq kī haiñ
re.āyā bhī aur hukmarāñ bhī
vo kho gayā ye milī haiñ jis ko
ye jītnā chāhtī hai jis ko
usī se dar-asal hārtī haiñ
tumhārī āñkheñ sharārtī haiñ
kashish kā vo dā.era banā.eñ
havās jis se nikal na paa.eñ
maiñ apne andar bikhar sā jā.ūñ
sameTne bhī na mujh ko aa.eñ
ajab hai anjān-pan bhī un kā
maiñ un kā aur merā fan bhī un kā
ḳhamosh rah kar pukārtī haiñ
tumhārī āñkheñ sharārtī haiñ
tumhaari aankhen shararti hain
tum apne pichhe chhupe hue ho
baghaur dekhun tumhein to mujh ko
shararaton par ubhaarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
lahu ko shoala-ba-dast kar den
ye pattharon ko bhi mast kar den
hayat ki sukhti ruton mein
bahaar ka band-o-bast kar den
kabhi gulabi kabhi sunahri
samundaron se ziyaada gahri
tahon mein apni utarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
haya bhi hai un mein shoKHiyan bhi
ye raaz bhi apni tarjuman bhi
riyasat-e-husn-o-ishq ki hain
reaya bhi aur hukmaran bhi
wo kho gaya ye mili hain jis ko
ye jitna chahti hai jis ko
usi se dar-asal haarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
kashish ka wo daera banaen
hawas jis se nikal na paen
main apne andar bikhar sa jaun
sameTne bhi na mujh ko aaen
ajab hai anjaan-pan bhi un ka
main un ka aur mera fan bhi un ka
KHamosh rah kar pukarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
- Book : Kalam-e- muzaffar warsi (Pg. 243)
- Author : Farid book depot (pvt)Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.