tumhaari aankhen
tumhārī āñkheñ
tumhārī kaalī chamaktī āñkheñ
zamāne ke sāgar meñ
do ābnūsī kashtiyāñ
jin kī tah meñ
taare jaḌe hue haiñ
palkoñ ke mastūl thartharāte haiñ
har ghaḌī har dam
hiltī Doltī bahtī chalī jā rahī haiñ
mat roko in ko
inheñ lambe dūr-darāz safar karne do
dukh kī tilmilātī lahroñ
āñsūoñ ke bhañvar meñ
phañsne do in ko
aur inheñ phir
nit-na.ī anjānī āshāoñ ke
sunahre sāhiloñ se
Takrāne do
aise vaisoñ ke paas inheñ le jaao
jahāñ ḳhushiyoñ ke hiire
patthar ke saath mile-jule
chatiyal maidānoñ meñ
bikhre paḌe hue haiñ
aur jahāñ ūñchī nokīlī saḳht
chaTānoñ ke siine
chiir kar
nāzuk nāyāb mahakte phuul nikal aa.e haiñ
guzarne do
in maTiyāle bhūre sāyoñ ke
nīche se un ko
jo dil ko Thahrā dete haiñ
aur un āsmānī niilī
raushniyoñ kī halkī maddham zau
paḌne do in par
jin se
man ke sab añdhiyāre
dhul jaate haiñ
āzād rakho
apnī in achchhī āñkhoñ ko āzād
barkhā meñ bādal
sahrā meñ aahū
ban meñ jaise mor papīhe hoñ
phir ye tumhārī
kaalī āñkheñ
ābnūs kī do mahaktī bahaktī kashtiyāñ
indr-dhanush ke
sātoñ rañgoñ se bhar jā.eñgī
aur ham tum se pūchheñge
batāo
ye do āñkheñ tumhārī
hameñ kyoñ itnī achchhī lagtī haiñ
tumhaari aankhen
tumhaari kali chamakti aankhen
zamane ke sagar mein
do aabnusi kashtiyan
jin ki tah mein
tare jaDe hue hain
palkon ke mastul thartharaate hain
har ghaDi har dam
hilti Dolti bahti chali ja rahi hain
mat roko in ko
inhen lambe dur-daraaz safar karne do
dukh ki tilmilati lahron
aansuon ke bhanwar mein
phansne do in ko
aur inhen phir
nit-nai anjaani aashaon ke
sunahre sahilon se
Takrane do
aise waison ke pas inhen le jao
jahan KHushiyon ke hire
patthar ke sath mile-jule
chatiyal maidanon mein
bikhre paDe hue hain
aur jahan unchi nokili saKHt
chaTanon ke sine
chir kar
nazuk nayab mahakte phul nikal aae hain
guzarne do
in maTiyale bhure sayon ke
niche se un ko
jo dil ko Thahra dete hain
aur un aasmani nili
raushniyon ki halki maddham zau
paDne do in par
jin se
man ke sab andhiyare
dhul jate hain
aazad rakho
apni in achchhi aankhon ko aazad
barkha mein baadal
sahra mein aahu
ban mein jaise mor papihe hon
phir ye tumhaari
kali aankhen
aabnus ki do mahakti bahakti kashtiyan
indr-dhanush ke
saton rangon se bhar jaengi
aur hum tum se puchhenge
batao
ye do aankhen tumhaari
hamein kyon itni achchhi lagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.