tumhaari aawaz aa rahi hai
maiñ apne ghar ke ḳhamosh dar pe
khaḌī huī huuñ
maiñ ek kamre se
dūsre ko
larazte qadmoñ se baḌh rahī huuñ
maiñ chhat ke ziine pe chaḌh rahī huuñ
tumhārī āvāz aa rahī hai
galī galī ke
tamām chehre
machine daftar libās saare
dukāñ makāñ aur makīn saare
basoñ ke uThte dhueñ meñ tahlīl ho rahe haiñ
tumhārī āvāz aa rahī hai
havā kī sāñseñ bikhar rahī haiñ
maiñ nīm-shab ke athāh kuñ.eñ meñ
simaT rahī huuñ
sulagtī āñkhoñ ko saath le kar
maiñ nīm-ḳhvābī meñ chal rahī huuñ
tumhārī āvāz aa rahī hai
zamīñ kā siina bilak rahā hai
hazār sadiyoñ kā ik safar hai
ubalte aañsū machalte sāgar
pighalte laave ko pī rahī huuñ
tumhārī āvāz aa rahī hai
maiñ zard paude ko zinda paanī pilā rahī huuñ
maiñ jalte zaḳhmoñ pe ThanDā marham lagā rahī huuñ
tamām ashkoñ ke vāste maiñ
ye narm āñchal bichhā rahī huuñ
tumhārī āvāz aa rahī hai
tamām aalam kiran kiran hai
ajiib ḳhushbū
tamām aalam tamām sāñsoñ
pe chhā rahī hai
mahak kī āñkheñ damak uThī haiñ
gulāb se lauh bhar rahī hai
tumhārī āvāz aa rahī hai
main apne ghar ke KHamosh dar pe
khaDi hui hun
main ek kamre se
dusre ko
larazte qadmon se baDh rahi hun
main chhat ke zine pe chaDh rahi hun
tumhaari aawaz aa rahi hai
gali gali ke
tamam chehre
machine daftar libas sare
dukan makan aur makin sare
bason ke uThte dhuen mein tahlil ho rahe hain
tumhaari aawaz aa rahi hai
hawa ki sansen bikhar rahi hain
main nim-shab ke athah kunen mein
simaT rahi hun
sulagti aankhon ko sath le kar
main nim-KHwabi mein chal rahi hun
tumhaari aawaz aa rahi hai
zamin ka sina bilak raha hai
hazar sadiyon ka ek safar hai
ubalte aansu machalte sagar
pighalte lawe ko pi rahi hun
tumhaari aawaz aa rahi hai
main zard paude ko zinda pani pila rahi hun
main jalte zaKHmon pe ThanDa marham laga rahi hun
tamam ashkon ke waste main
ye narm aanchal bichha rahi hun
tumhaari aawaz aa rahi hai
tamam aalam kiran kiran hai
ajib KHushbu
tamam aalam tamam sanson
pe chha rahi hai
mahak ki aankhen damak uThi hain
gulab se lauh bhar rahi hai
tumhaari aawaz aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.