tumhaari manzil kahin nahin hai
bebasī kā azaab
udaas rastoñ pe chalne vaalo
udāsiyoñ kā safar muqaddar hai
tum ye raste badal bhī lo to nishān-e-manzil
tumhārī āñkhoñ kī tīrgī meñ
lipaT ke be-nām ho rahegā
ye shahr ye bastiyāñ ye qarye
bas ek be-nām ḳhauf kī zad meñ aa ga.e haiñ
tumhārī āñkhoñ meñ
kin ḳhizāoñ kī zard vīrāniyāñ basī haiñ
tumhāre hoñToñ pe zahr-e-be-rañg kī taheñ kis liye jamī haiñ
tumhāre chehroñ kā ḳhaak sā rañg
kaun se dard kā asar hai
udaas rastoñ pe chalne vaalo
agar ummīdoñ ke peḌ patjhaḌ kī zad meñ haiñ
to unheñ jaḌoñ se ukhāḌ pheñko
tumhārī āñkhoñ meñ zard vīrāniyāñ basī haiñ
to apnī āñkhoñ nikāl Daalo
tumhāre shahroñ meñ ḳhauf aaseb ban gayā hai
to sab makānoñ ko raakh kar do
magar kabhī yuuñ na ho sakegā
ki jo banāne kī aarzū meñ bigāḌte haiñ
vo haath hī bebasī ke pinjre meñ band haiñ
un udaas rastoñ pe chalne vaalo
mujhe bhī hamrāh le ke chalnā
ki maiñ akelā kahāñ rahūñgā
bebasi ka azab
udas raston pe chalne walo
udasiyon ka safar muqaddar hai
tum ye raste badal bhi lo to nishan-e-manzil
tumhaari aankhon ki tirgi mein
lipaT ke be-nam ho rahega
ye shahr ye bastiyan ye qarye
bas ek be-nam KHauf ki zad mein aa gae hain
tumhaari aankhon mein
kin KHizaon ki zard viraniyan basi hain
tumhaare honTon pe zahr-e-be-rang ki tahen kis liye jami hain
tumhaare chehron ka KHak sa rang
kaun se dard ka asar hai
udas raston pe chalne walo
agar ummidon ke peD patjhaD ki zad mein hain
to unhen jaDon se ukhaD phenko
tumhaari aankhon mein zard viraniyan basi hain
to apni aankhon nikal Dalo
tumhaare shahron mein KHauf aaseb ban gaya hai
to sab makanon ko rakh kar do
magar kabhi yun na ho sakega
ki jo banane ki aarzu mein bigaDte hain
wo hath hi bebasi ke pinjre mein band hain
un udas raston pe chalne walo
mujhe bhi hamrah le ke chalna
ki main akela kahan rahunga
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 470)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.