tumhaari wajh se
agarche ye sach hai
ka.ī baar dil merā behad dukhā hai tumhārī vaj.h se
ka.ī baar palkoñ pe aa.e haiñ aañsū tumhārī vaj.h se
ka.ī baar sahnī paḌī saḳht lahje kī tezī o tundī tumhārī vaj.h se
ka.ī martaba nā-munāsib ravayya bhī jhelā hai maiñ ne tumhārī vaj.h se
ka.ī baar be-bāt ġhusse kī zad par bhī aanā paḌā hai tumhārī vaj.h se
ka.ī martaba izzat-e-nafs ko taaq par rakh ke sorry bhī kahnā paḌā hai tumhārī vaj.h se
to ye bhī to sach hai
jo is pahle sach se kahīñ mo'atabar hai baḌā dil-nashīñ hai
ki aksar milā hai mire ġham ko marham tumhārī vaj.h se
ka.ī baar maiñ rote rote hañsī huuñ tumhārī vaj.h se
mire āñsuoñ ko mayassar huā ek bar-vaqt kandhā tumhārī vaj.h se
ka.ī baar afsurdagī ke samundar meñ girne se pahle bachā.ī ga.ī huuñ tumhārī vaj.h se
hunar zabt-e-girya kā dar aayā mujh meñ tumhārī vaj.h se
hue vā shu.ūr-e-ġham-e-zīst ke dar tumhārī vaj.h se
ujāgar huā mujh meñ ehsās-e-hastī tumhārī vaj.h se
huā munkashif lafz-e-iḳhlās mujh pe tumhārī vaj.h se
huā fahm-o-idrāk sachchī ḳhushī kā tumhārī vaj.h se
tumhārī vaj.h se hī masrūr-o-shādāb rahne lagī huuñ
agarche maiñ andar se TuuTī huī huuñ
magar phir bhī ab tak jo bikhrī nahīñ huuñ tumhārī vaj.h se
ye sach hai mire dost maiñ jī rahī huuñ tumhārī vaj.h se
agarche ye sach hai
kai bar dil mera behad dukha hai tumhaari wajh se
kai bar palkon pe aae hain aansu tumhaari wajh se
kai bar sahni paDi saKHt lahje ki tezi o tundi tumhaari wajh se
kai martaba na-munasib rawayya bhi jhela hai main ne tumhaari wajh se
kai bar be-baat ghusse ki zad par bhi aana paDa hai tumhaari wajh se
kai martaba izzat-e-nafs ko taq par rakh ke sorry bhi kahna paDa hai tumhaari wajh se
to ye bhi to sach hai
jo is pahle sach se kahin mo'atabar hai baDa dil-nashin hai
ki aksar mila hai mere gham ko marham tumhaari wajh se
kai bar main rote rote hansi hun tumhaari wajh se
mere aansuon ko mayassar hua ek bar-waqt kandha tumhaari wajh se
kai bar afsurdagi ke samundar mein girne se pahle bachai gai hun tumhaari wajh se
hunar zabt-e-girya ka dar aaya mujh mein tumhaari wajh se
hue wa shuur-e-gham-e-zist ke dar tumhaari wajh se
ujagar hua mujh mein ehsas-e-hasti tumhaari wajh se
hua munkashif lafz-e-iKHlas mujh pe tumhaari wajh se
hua fahm-o-idrak sachchi KHushi ka tumhaari wajh se
tumhaari wajh se hi masrur-o-shadab rahne lagi hun
agarche main andar se TuTi hui hun
magar phir bhi ab tak jo bikhri nahin hun tumhaari wajh se
ye sach hai mere dost main ji rahi hun tumhaari wajh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.