tumhaari yaad
muddatoñ baad phir ubhrī hai tumhārī tasvīr
mere vīrān ḳhayālāt kī gahrā.ī meñ
tum ne ḳhvāboñ meñ na aane kī qasam khaa.ī thī
kyoñ muḳhil aa ke hue phir mirī tanhā.ī meñ
zalzale tum se haiñ vābasta tumheñ kyā ma.alūm
aaj halchal sī machī hai dil-e-saudā.ī meñ
maiñ tumheñ kho ke ye sochā thā ki ḳhud ko DhūñDhuñ
kyā ajab hai ki mile apnā kinārā mujh ko
haif-sad-haif magar TuuT gayā merā tilism
tum ne maazī ke shabistāñ se pukārā mujh ko
jagmagā uTThe tasavvur meñ charāġh-e-mahfil
tum nazar aane lage anjuman-ārā mujh ko
maqbara merī tamannāoñ kā maazī kā harīm
jis meñ madfūn haiñ murde mire afsānoñ ke
tum pe maftūn kam-andesha vo majnūn-e-shabāb
aur uḌte hue purze vo garebānoñ ke
bārish-e-ashk phir us garmī-e-vahshat ke baad
jis meñ andāz machalte hue tūfānoñ ke
kabhī rātoñ meñ ghulā nashsha-e-sahbā-e-bahār
kabhī sub.hoñ meñ mirī garmī-e-hangām-e-nushūr
ishq betāb magar husn ko pābandī-e-vaz.a
mere vārafta taqāze the magar tum majbūr
bevafā tum ko jo kah detā thā jhuñjhlāhaT meñ
DabDabā aatī thiiñ ashkoñ se vo āñkheñ maḳhmūr
jab mirī jaan tumhīñ bhuul ga.e ho mujh ko
yaad se apnī ye kah do ki satā.e na mujhe
baḌī mushkil se ye lamhāt-e-sukūñ aa.e haiñ
shorish-e-ishq ba-takrār hilā.e na mujhe
mere vīrāne meñ paidā haiñ kuchh āsār-e-bahār
qissa-e-daur-e-junūñ koī sunā.e na mujhe
ab to vo valvala-e-ahd-e-javānī bhī nahīñ
vaqt merā ye nahīñ ishq ke hangāmoñ kā
mujh ko maazī se mire duur hī bas rahne do
zikr hai dard-rasāñ TuuTe hue jāmoñ kā
maiñ alag tum se thā yā merā hī partav the tum
mujh ko mafhūm samajhne do in ibhāmoñ kā
muddaton baad phir ubhri hai tumhaari taswir
mere viran KHayalat ki gahrai mein
tum ne KHwabon mein na aane ki qasam khai thi
kyon muKHil aa ke hue phir meri tanhai mein
zalzale tum se hain wabasta tumhein kya malum
aaj halchal si machi hai dil-e-saudai mein
main tumhein kho ke ye socha tha ki KHud ko DhunDhun
kya ajab hai ki mile apna kinara mujh ko
haif-sad-haif magar TuT gaya mera tilism
tum ne mazi ke shabistan se pukara mujh ko
jagmaga uTThe tasawwur mein charagh-e-mahfil
tum nazar aane lage anjuman-ara mujh ko
maqbara meri tamannaon ka mazi ka harim
jis mein madfun hain murde mere afsanon ke
tum pe maftun kam-andesha wo majnun-e-shabab
aur uDte hue purze wo garebanon ke
barish-e-ashk phir us garmi-e-wahshat ke baad
jis mein andaz machalte hue tufanon ke
kabhi raaton mein ghula nashsha-e-sahba-e-bahaar
kabhi subhon mein meri garmi-e-hangam-e-nushur
ishq betab magar husn ko pabandi-e-waza
mere warafta taqaze the magar tum majbur
bewafa tum ko jo kah deta tha jhunjhlahaT mein
DabDaba aati thin ashkon se wo aankhen maKHmur
jab meri jaan tumhin bhul gae ho mujh ko
yaad se apni ye kah do ki satae na mujhe
baDi mushkil se ye lamhat-e-sukun aae hain
shorish-e-ishq ba-takrar hilae na mujhe
mere virane mein paida hain kuchh aasar-e-bahaar
qissa-e-daur-e-junun koi sunae na mujhe
ab to wo walwala-e-ahd-e-jawani bhi nahin
waqt mera ye nahin ishq ke hangamon ka
mujh ko mazi se mere dur hi bas rahne do
zikr hai dard-rasan TuTe hue jamon ka
main alag tum se tha ya mera hi partaw the tum
mujh ko mafhum samajhne do in ibhamon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.