tumhein aazad karti hun
suno koī uzr mat DhūñDo na hī nazreñ churāo tum
mujhe mālūm hai maiñ sab samajhtī huuñ
tumhāre ahd-e-ulfat se tumheñ āzād kartī huuñ
ab aisā hai ki patthar kā zamāna phir se lauT aayā
vahī qānūn jangal kā jibillat kā ġhulām insāñ
farāz-e-ishq se pātāl tak kā hai safar ya.anī
firāq-o-hijr ke mausam hue pārīna qisse ab
ba-kasrat haiñ mayassar ab to māshūqān-e-shīrīñ-lab
maiñ huuñ hairat-zada ab tak
vo kaise log the āḳhir
lahū se kar ga.e rangīn jo ulfat ke qissoñ ko
ajab hī rah nikālī thī
vafā kī rasm Daalī thī
maiñ qissa-go abhī tak dāstānoñ meñ hī rahtī huuñ
vahī rasmeñ nibhātī huuñ vahī dukh dard sahtī huuñ
magar maiñ ahd-e-hāzir ke ravayyoñ se bhī vāqif huuñ
suno koī uzr mat DhūñDo na hī nazreñ churāo tum
mujhe mālūm hai maiñ sab samajhtī huuñ
tumhāre ahd-e-ulfat se tumheñ āzād kartī huuñ
suno koi uzr mat DhunDo na hi nazren churao tum
mujhe malum hai main sab samajhti hun
tumhaare ahd-e-ulfat se tumhein aazad karti hun
ab aisa hai ki patthar ka zamana phir se lauT aaya
wahi qanun jangal ka jibillat ka ghulam insan
faraaz-e-ishq se patal tak ka hai safar yani
firaq-o-hijr ke mausam hue parina qisse ab
ba-kasrat hain mayassar ab to mashuqan-e-shirin-lab
main hun hairat-zada ab tak
wo kaise log the aaKHir
lahu se kar gae rangin jo ulfat ke qisson ko
ajab hi rah nikali thi
wafa ki rasm Dali thi
main qissa-go abhi tak dastanon mein hi rahti hun
wahi rasmen nibhati hun wahi dukh dard sahti hun
magar main ahd-e-hazir ke rawayyon se bhi waqif hun
suno koi uzr mat DhunDo na hi nazren churao tum
mujhe malum hai main sab samajhti hun
tumhaare ahd-e-ulfat se tumhein aazad karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.