tumhein jaane ki jaldi hai
hameñ jaldī meñ chhoḌe jā rahe ho
tumheñ jānāñ ijāzat hai
magar socho
kabhī jab ham nahīñ hoñge
to dil kī bekalī kis ko batāoge
kaho jīvan ke be-āsār rastoñ par
safar kī gard jab
bīnā.ī kā sūraj bujhā degī
to phir kis ko pukāroge
badan ko chīrtī tanhā.ī par phailā.e
jab har ek sū hogī
to us lamhe
'farāz'-o-'faiz' kī ġhazloñ pe kis se guftugū hogī
kise 'jagjīt' ke siskī bhare gītoñ meñ DhūñDoge
kise 'parvīn' ke ḳhushbū meñ Duube sher tum message meñ bhejoge
kise 'gulzār' kī uljhī huī nazmeñ sunāoge
kaho phir shab ga.e
'manto' ke afsānoñ pe kis se guftugū hogī
mujhe tanhā.ī ke sahrā meñ tanhā chhoḌ kar
āḳhir tumheñ bhī ḳhushbūoñ ke des jaanā hai
jahāñ ḳhvāboñ ke jugnū kitnī sadiyoñ se
tumhāre muntazir haiñ
tumheñ kis muñh se ham rokeñ magar jānāñ
kabhī jab ham nahīñ hoñge
to is duniyā ke mele meñ kise apnā kahoge tum
kise 'arshad' pukāroge
bayāz-e-dil pe kis kī surma.ī nazmeñ utāroge
udāsī ke sitāre
jab tumhāre chaar jānib
jhilmilā.eñge
ga.e mausam ke bāshe yaad ke sahrāoñ meñ miTTī uḌā.eñge
to us lamhe
tumheñ ham yaad ā.eñge
magar jānāñ
tumheñ jaane kī jaldī hai
hamein jaldi mein chhoDe ja rahe ho
tumhein jaanan ijazat hai
magar socho
kabhi jab hum nahin honge
to dil ki bekali kis ko bataoge
kaho jiwan ke be-asar raston par
safar ki gard jab
binai ka suraj bujha degi
to phir kis ko pukaroge
badan ko chirti tanhai par phailae
jab har ek su hogi
to us lamhe
'faraaz'-o-'faiz' ki ghazlon pe kis se guftugu hogi
kise 'jagjit' ke siski bhare giton mein DhunDoge
kise 'parwin' ke KHushbu mein Dube sher tum message mein bhejoge
kise 'gulzar' ki uljhi hui nazmen sunaoge
kaho phir shab gae
'manto' ke afsanon pe kis se guftugu hogi
mujhe tanhai ke sahra mein tanha chhoD kar
aaKHir tumhein bhi KHushbuon ke des jaana hai
jahan KHwabon ke jugnu kitni sadiyon se
tumhaare muntazir hain
tumhein kis munh se hum roken magar jaanan
kabhi jab hum nahin honge
to is duniya ke mele mein kise apna kahoge tum
kise 'arshad' pukaroge
bayaz-e-dil pe kis ki surmai nazmen utaroge
udasi ke sitare
jab tumhaare chaar jaanib
jhilmilaenge
gae mausam ke bashe yaad ke sahraon mein miTTi uDaenge
to us lamhe
tumhein hum yaad aaenge
magar jaanan
tumhein jaane ki jaldi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.