tumhein kya
tumheñ kyā
zindagī jaisī bhī hai
tum ne us ke har adā se rañg kī maujeñ nichoḌī haiñ
tumheñ to TuuT kar chāhā gayā chehroñ ke mele meñ
mohabbat kī shafaq barsī tumhāre ḳhāl-o-ḳhad par
aa.ine chamke tumhārī diid se
ḳhushbū tumhāre pairahan kī har shikan se
izn le kar har taraf vahshat luTātī thī
tumhāre chāhne vāloñ ke jhurmuT meñ
sabhī āñkheñ tumhāre āriz-o-lab kī kanīzeñ thiiñ
tumheñ kyā
tum ne har mausam kī shah-e-rag meñ uñDele zā.iqe apne
tumheñ kyā
tum ne kab sochā
ki chehroñ se aTī duniyā meñ tanhā saañs letī
hāñptī rātoñ ke be-ghar ham-safar
kitnī mashaqqat se garebān-e-sahar ke chaak siite haiñ
tumheñ kyā
tum ne kab sochā
ki tanhā.ī ke jañgal meñ
siyah lamhoñ kī chubhtī kirchiyoñ se kaun khelā hai
tumheñ kyā
tum ne kab sochā
ki chehroñ se aTī duniyā meñ
kis kā dil akelā hai
tumhein kya
zindagi jaisi bhi hai
tum ne us ke har ada se rang ki maujen nichoDi hain
tumhein to TuT kar chaha gaya chehron ke mele mein
mohabbat ki shafaq barsi tumhaare KHal-o-KHad par
aaine chamke tumhaari did se
KHushbu tumhaare pairahan ki har shikan se
izn le kar har taraf wahshat luTati thi
tumhaare chahne walon ke jhurmuT mein
sabhi aankhen tumhaare aariz-o-lab ki kanizen thin
tumhein kya
tum ne har mausam ki shah-e-rag mein unDele zaiqe apne
tumhein kya
tum ne kab socha
ki chehron se aTi duniya mein tanha sans leti
hanpti raaton ke be-ghar ham-safar
kitni mashaqqat se gareban-e-sahar ke chaak site hain
tumhein kya
tum ne kab socha
ki tanhai ke jangal mein
siyah lamhon ki chubhti kirchiyon se kaun khela hai
tumhein kya
tum ne kab socha
ki chehron se aTi duniya mein
kis ka dil akela hai
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 1237)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.