tumhein likhna na aata tha
sunā hai tum manoñ miTTī tale ārām kartī ho
tum aur ārām nā-mumkin
sunā hai maut se bhī āḳhirī dam tak laḌā.ī kī
mujhe ma.alūm hai tum kitnī ziddī thiiñ
qasam in khurdure hāthoñ kī
maiñ jin meñ qalam pakḌe hue huuñ
nihāyat be-īmānī se
tumheñ har baar maiñ tum se churā kar nazm buntī huuñ
kahānī kāḌhtī huuñ
aur sab se jhuuT kahtī huuñ
ki saare harf mere haiñ
sunā hai jis ghaḌī duniyā meñ maiñ aa.ī
tumhīñ ne shahd bhī mujh ko chaTāyā
reshmī uñglī se kājal bhī lagāyā thā
vo pahlā shahd kā qatra
mire sheroñ meñ ras ban kar mahaktā hai
to mujh par daad aur tahsīn kī barsāt hotī hai
vo kājal reshmī uñglī se jo tum ne lagāyā thā
mirī āñkhoñ meñ aisā nuur laayā
ki jo nekī badī meñ ḳhatt-e-fāsil khīñch detā hai
tarā.ī ke bahut chhoTe se qasbe ke
kisī ḳhāmosh āñgan meñ
mujhe tum duudh chāval
chāñd kī mīThī kaTorī meñ khilātī thiiñ
to raanī ketkī vaalī kahānī bhī sunātī thiiñ
kabhī tum apne pahlū meñ liTā kar
āsmāñ ke nit-na.e asrār samjhātīñ
vo dekho
kahkashāñ kahte haiñ jis ko ye haqīqat meñ
nabī-jī kī savārī ke qadam kī dhuul hai saarī
kabhī tum dil-nashīñ āvāz meñ lorī sunātī thiiñ
magar maiñ bhī tumhārī hī tarah kī ek ziddī thī
mujhe kab niiñd aatī thī
tumhārī reshmī uñglī pakaḌ kar maiñ
anokhī kahkashāoñ ke safar par chal nikaltī thī
anokhī kahkashā.eñ jo galī kūchoñ meñ bikhrī thiiñ
vo ik nā-bīnā buḌhiyā
jis ke TuuTe jhoñpaḌe meñ
shab kī tārīkī meñ tum jā kar
nivāla apne hāthoñ se khilātī thiiñ
mohalle meñ koī bachcha jo aadhī raat ko rotā
to tum bechain hī rahtī thiiñ jab tak ho na aatī thiiñ
tumheñ bachchoñ se aur bachchoñ ko tum se ishq thā goyā
kahā jaatā hai tum dushman banāne meñ bhī māhir thiiñ
harīs aisī
ki kam qīmat koī malbūs nazroñ meñ na laatī thiiñ
ġhanī aisī
ki ik luqma na marzī ke ḳhilāf apne uThātī thiiñ
ra.ūnat aur darveshī
tumhārī zaat ke ik mantaqe par aan milte the
shikāyat rañj bīmārī
ye vo alfāz the jin ko
luġhat se apnī ḳhārij kar diyā thā jaane kab tum ne
sunā ye hai tumheñ qur.ān bhī achchhī tarah paḌhnā na aatā thā
magar maiñ ne to ye dekhā
galī ke kitne hī āvāra kutte dum dabā kar baiTh jaate the
tumhārī ek summun aur bukmun kī tilāvat se
tumhāre haath ke mīThe malīde meñ
jo dargāhoñ kī ḳhushbū thī
maiñ likhnā chāhtī huuñ to
simaT kar jazb ho jaatī hai kāġhaz meñ
tumhāre pople hoñToñ kā nāzuk ḳham
ik aisā harf-e-abjad thā
jise jitnā maiñ paḌhtī huuñ
na.e asrār khulte haiñ
rupahlī jild kī afshāñ bikhar jaatī hai kāġhaz par
kabhī qirtās par tum jhurriyoñ meñ jhilmilātī ho
hamesha kī tarah se mīThe mīThe muskurātī ho
to apne khurdure hāthoñ ko maiñ hairat se taktī huuñ
sunā ye hai tumheñ likhnā na aatā thā
tumhāre haath kī kapḌe kī guḌiyā
aur gulābī rañg kī miTTī kī chiḌiyā
lafz ban kar jab bhī kāġhaz par chahaktī haiñ
maiñ chālākī se hañstī huuñ
chalo achchhā hai logoñ ko yahī ma.alūm hai ab tak
tumheñ likhnā na aatā thā
suna hai tum manon miTTi tale aaram karti ho
tum aur aaram na-mumkin
suna hai maut se bhi aaKHiri dam tak laDai ki
mujhe malum hai tum kitni ziddi thin
qasam in khurdure hathon ki
main jin mein qalam pakDe hue hun
nihayat be-imani se
tumhein har bar main tum se chura kar nazm bunti hun
kahani kaDhti hun
aur sab se jhuT kahti hun
ki sare harf mere hain
suna hai jis ghaDi duniya mein main aai
tumhin ne shahd bhi mujh ko chaTaya
reshmi ungli se kajal bhi lagaya tha
wo pahla shahd ka qatra
mere sheron mein ras ban kar mahakta hai
to mujh par dad aur tahsin ki barsat hoti hai
wo kajal reshmi ungli se jo tum ne lagaya tha
meri aankhon mein aisa nur laya
ki jo neki badi mein KHatt-e-fasil khinch deta hai
tarai ke bahut chhoTe se qasbe ke
kisi KHamosh aangan mein
mujhe tum dudh chawal
chand ki miThi kaTori mein khilati thin
to rani ketki wali kahani bhi sunati thin
kabhi tum apne pahlu mein liTa kar
aasman ke nit-nae asrar samjhatin
wo dekho
kahkashan kahte hain jis ko ye haqiqat mein
nabi-ji ki sawari ke qadam ki dhul hai sari
kabhi tum dil-nashin aawaz mein lori sunati thin
magar main bhi tumhaari hi tarah ki ek ziddi thi
mujhe kab nind aati thi
tumhaari reshmi ungli pakaD kar main
anokhi kahkashaon ke safar par chal nikalti thi
anokhi kahkashaen jo gali kuchon mein bikhri thin
wo ek na-bina buDhiya
jis ke TuTe jhonpaDe mein
shab ki tariki mein tum ja kar
niwala apne hathon se khilati thin
mohalle mein koi bachcha jo aadhi raat ko rota
to tum bechain hi rahti thin jab tak ho na aati thin
tumhein bachchon se aur bachchon ko tum se ishq tha goya
kaha jata hai tum dushman banane mein bhi mahir thin
haris aisi
ki kam qimat koi malbus nazron mein na lati thin
ghani aisi
ki ek luqma na marzi ke KHilaf apne uThati thin
raunat aur darweshi
tumhaari zat ke ek mantaqe par aan milte the
shikayat ranj bimari
ye wo alfaz the jin ko
lughat se apni KHarij kar diya tha jaane kab tum ne
suna ye hai tumhein quran bhi achchhi tarah paDhna na aata tha
magar main ne to ye dekha
gali ke kitne hi aawara kutte dum daba kar baiTh jate the
tumhaari ek summun aur bukmun ki tilawat se
tumhaare hath ke miThe malide mein
jo dargahon ki KHushbu thi
main likhna chahti hun to
simaT kar jazb ho jati hai kaghaz mein
tumhaare pople honTon ka nazuk KHam
ek aisa harf-e-abjad tha
jise jitna main paDhti hun
nae asrar khulte hain
rupahli jild ki afshan bikhar jati hai kaghaz par
kabhi qirtas par tum jhurriyon mein jhilmilati ho
hamesha ki tarah se miThe miThe muskuraati ho
to apne khurdure hathon ko main hairat se takti hun
suna ye hai tumhein likhna na aata tha
tumhaare hath ki kapDe ki guDiya
aur gulabi rang ki miTTi ki chiDiya
lafz ban kar jab bhi kaghaz par chahakti hain
main chaalaki se hansti hun
chalo achchha hai logon ko yahi malum hai ab tak
tumhein likhna na aata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.