tumhein maine bataya tha
shikasta-pā nahīñ dekho
shikasta-rūh bhī huuñ maiñ
mire maflūj hāthoñ ko hayāt-e-nau kā ab koī ishāra mat dikhā denā
mirī be-nūr āñkhoñ ko naved-e-ḳhvāb-e-ulfat mat sunā denā
batāyā thā ki muddat se
mire ma.azūr pairoñ ne kisī ke saath chalne kī
ijāzat tak nahīñ dī hai
mire TuuTe badan meñ zindagī kā ek bhī zarra nahīñ baaqī
tumheñ to sab batāyā thā
tumheñ zid thī
tumheñ zid thī mire pairoñ tale palkeñ bichhāoge
tumheñ zid thī ki tum merī hathelī par dhaḌakte dil ko rakkhoge
tumheñ zid thī ki bujhtī ruuh par tum zindagī kī aag rakkhoge
tumhārī zid ke aage haar maanī
phir se ik dam toḌtī ummīd ke dhāgoñ se zaḳhmoñ ko siyā
ḳhud ko tumheñ sauñpā
magar jo ab ke TuuTā hai
mire TukḌoñ ke TukḌe haiñ
kabhī bhī juḌ na pā.eñge
agar ye juḌ bhī jaa.eñ to
nahīñ imkāñ koī ab in meñ merī ruuh bhī hogī
shikasta-pa nahin dekho
shikasta-ruh bhi hun main
mere mafluj hathon ko hayat-e-nau ka ab koi ishaara mat dikha dena
meri be-nur aankhon ko nawed-e-KHwab-e-ulfat mat suna dena
bataya tha ki muddat se
mere mazur pairon ne kisi ke sath chalne ki
ijazat tak nahin di hai
mere TuTe badan mein zindagi ka ek bhi zarra nahin baqi
tumhein to sab bataya tha
tumhein zid thi
tumhein zid thi mere pairon tale palken bichhaoge
tumhein zid thi ki tum meri hatheli par dhaDakte dil ko rakkhoge
tumhein zid thi ki bujhti ruh par tum zindagi ki aag rakkhoge
tumhaari zid ke aage haar mani
phir se ek dam toDti ummid ke dhagon se zaKHmon ko siya
KHud ko tumhein saunpa
magar jo ab ke TuTa hai
mere TukDon ke TukDe hain
kabhi bhi juD na paenge
agar ye juD bhi jaen to
nahin imkan koi ab in mein meri ruh bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.