tumhein meri fikr nahin
jis tarah raat ko
TuuTe taare kī nahīñ
gahre samundar ko
aañsū khāre kī nahīñ
ghamanDī imārat ko
andarūñ gaare kī nahīñ
haañ jaise thoḌe ko
baaqī saare kī nahīñ
jis tarah ga.e ko
vāpas pukāre kī nahīñ
hākim-e-shāhī ko
kal ke maare kī nahīñ
guzre vaqt ko
pal guzāre kī nahīñ
haañ jaise ishq ko
is meñ haare kī nahīñ
ya.anī is tarah
jaise tere dil ko
us ke pyāre kī nahīñ
jis tarah raat ko
TuTe tare ki nahin
gahre samundar ko
aansu khaare ki nahin
ghamanDi imarat ko
andarun gare ki nahin
han jaise thoDe ko
baqi sare ki nahin
jis tarah gae ko
wapas pukare ki nahin
hakim-e-shahi ko
kal ke mare ki nahin
guzre waqt ko
pal guzare ki nahin
han jaise ishq ko
is mein haare ki nahin
yani is tarah
jaise tere dil ko
us ke pyare ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.