tumhein yaad ho ki na yaad ho
vo jahān-e-shauq kī bastiyāñ
vo sharāb-e-ishq kī mastiyāñ
vo harīm-e-nāz kī rif.ateñ
vo sar-e-niyāz kī pastiyāñ
vo sukūt-e-manzar-e-jū-e-āb
vo ḳhamosh jalva-e-māhtāb
vo niyāz-o-nāz kī mahfileñ
vo sukūñ-navāzī-e-iztirāb
vo javāniyoñ meñ sharārateñ
vo tabī.atoñ meñ harārateñ
vo nafas meñ ziist kī garmiyāñ
vo navā-e-dil meñ bashārateñ
vo ḳhamoshiyoñ meñ hikāyateñ
vo dabī zabāñ se shikāyateñ
vo hijāb-e-jalva-e-ārzū
vo hadīs-e-dil kī nazākateñ
vo ḳhutūt aur vo guzārisheñ
vo maze maze kī nigārisheñ
vo ġhurūr-e-husn kī narmiyāñ
vo nigāh-e-lutf kī bārisheñ
kaf-e-nāznīñ meñ vo jām-e-mai
vo surūr-e-sāġhar-e-pai-ba-pai
vo nigāh-e-mast kī gardisheñ
vo nazar-farosh har ek shai
mirī aañkh ashk-fishāñ na thī
mire lab pe āh-o-fuġhāñ na thī
mire valvaloñ meñ shabāb thā
mujhe koī fikr-e-jahāñ na thī
kabhī lutf aur kabhī sitam
kabhī ishrat aur kabhī alam
kabhī bazm-e-aish meñ qahqahe
kabhī josh-e-girya se chashm nam
kabhī mujh se tum ko bhī chaah thī
kabhī mujh pe bhī to nigāh thī
mirā haal yuuñ na udaas thā
mirī ziist yuuñ na tabāh thī
vo zamāna mujh ko to yaad hai
tumheñ yaad ho ki na yaad ho
wo jahan-e-shauq ki bastiyan
wo sharab-e-ishq ki mastiyan
wo harim-e-naz ki rifaten
wo sar-e-niyaz ki pastiyan
wo sukut-e-manzar-e-ju-e-ab
wo KHamosh jalwa-e-mahtab
wo niyaz-o-naz ki mahfilen
wo sukun-nawazi-e-iztirab
wo jawaniyon mein shararaten
wo tabiaton mein hararaten
wo nafas mein zist ki garmiyan
wo nawa-e-dil mein bashaaraten
wo KHamoshiyon mein hikayaten
wo dabi zaban se shikayaten
wo hijab-e-jalwa-e-arzu
wo hadis-e-dil ki nazakaten
wo KHutut aur wo guzarishen
wo maze maze ki nigarishen
wo ghurur-e-husn ki narmiyan
wo nigah-e-lutf ki barishen
kaf-e-naznin mein wo jam-e-mai
wo surur-e-saghar-e-pai-ba-pai
wo nigah-e-mast ki gardishen
wo nazar-farosh har ek shai
meri aankh ashk-fishan na thi
mere lab pe aah-o-fughan na thi
mere walwalon mein shabab tha
mujhe koi fikr-e-jahan na thi
kabhi lutf aur kabhi sitam
kabhi ishrat aur kabhi alam
kabhi bazm-e-aish mein qahqahe
kabhi josh-e-girya se chashm nam
kabhi mujh se tum ko bhi chah thi
kabhi mujh pe bhi to nigah thi
mera haal yun na udas tha
meri zist yun na tabah thi
wo zamana mujh ko to yaad hai
tumhein yaad ho ki na yaad ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.