tu agar sair ko nikle
tū agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e
surma.ī shaal kā Daale hue māthe pe sirā
baal khole hue sandal kā lagā.e Tiikā
yuuñ jo hañstī huī tū sub.h ko aa jaa.e zarā
bāġh-e-kashmīr ke phūloñ ko achambhā ho jaa.e
tū agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e
le ke añgḌā.ī jo tū ghaaT pe badle pahlū
chaltā phirtā nazar aa jaa.e nadī par jaadū
jhuk ke muñh apnā jo gañgā meñ zarā dekh le tū
nithre paanī kā mazā aur bhī mīThā ho jaa.e
tū agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e
sub.h ke rañg ne baḳhshā hai vo mukhḌā tujh ko
shaam kī chhāñv ne sauñpā hai vo joḌā tujh ko
ki kabhī paas se dekhe jo himāla tujh ko
is tire qad kī qasam aur bhī ūñchā ho jaa.e
tū agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
surmai shaal ka Dale hue mathe pe sira
baal khole hue sandal ka lagae Tika
yun jo hansti hui tu subh ko aa jae zara
bagh-e-kashmir ke phulon ko achambha ho jae
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
le ke angDai jo tu ghaT pe badle pahlu
chalta phirta nazar aa jae nadi par jadu
jhuk ke munh apna jo ganga mein zara dekh le tu
nithre pani ka maza aur bhi miTha ho jae
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
subh ke rang ne baKHsha hai wo mukhDa tujh ko
sham ki chhanw ne saunpa hai wo joDa tujh ko
ki kabhi pas se dekhe jo himala tujh ko
is tere qad ki qasam aur bhi uncha ho jae
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.