tu bhi aisa sochti hogi
vaqt ne ham ko kis raste par lā Daalā hai
donoñ
ik an-chāhī ham-rāhī kī suulī le kar
bojhal bojhal paañv dharte jaa.eñ chalte jaa.eñ
tū bhī āḳhir insāñ hai
tere paas bhī armānoñ kā resham hogā
kabhī kabhī to tū bhī dard kī suuī le kar
koī lamha kāḌhtī hogī
chalte chalte kabhī kabhī koī bhīgā pul
ga.e dinoñ ke bahr meñ tujh ko jal-thal karnā hogā
mere paas bhī ḳhvāboñ kī
kuchh dhajjiyāñ baaqī haiñ
maiñ bhī akasr chalte chalte kho jaatā huuñ
in dhajjiyoñ ko joḌtā rahtā huuñ
ḳhud ko in meñ DhūñDhtā rahtā huuñ
kabhī kabhī bistar meñ leTe
maiñ ne apne aur tire mābain
aise aise lā-mutanāhī dariyā haa.el dekhe haiñ
jin par kisī bhī rishte kā koī pul nahīñ banñe paatā
ik aisī majbūr sī hamdardī kī Dorī meñ
ham donoñ bañdhe hue haiñ
jis meñ ham ne samjhautoñ kī
kitnī gāñTheñ Daal rakhī haiñ
vaqt kā jabr bhī kaisā hai
tujh ko ''tū'' nahīñ rahne detā
mujh ko ''maiñ'' nahīñ hone detā
jismoñ kī yakjā.ī kahīñ kartā hai
rūheñ aur kahīñ chhoḌ aatā hai
waqt ne hum ko kis raste par la Dala hai
donon
ek an-chahi ham-rahi ki suli le kar
bojhal bojhal panw dharte jaen chalte jaen
tu bhi aaKHir insan hai
tere pas bhi armanon ka resham hoga
kabhi kabhi to tu bhi dard ki sui le kar
koi lamha kaDhti hogi
chalte chalte kabhi kabhi koi bhiga pul
gae dinon ke bahr mein tujh ko jal-thal karna hoga
mere pas bhi KHwabon ki
kuchh dhajjiyan baqi hain
main bhi akasr chalte chalte kho jata hun
in dhajjiyon ko joDta rahta hun
KHud ko in mein DhunDhta rahta hun
kabhi kabhi bistar mein leTe
main ne apne aur tere mabain
aise aise la-mutanahi dariya hael dekhe hain
jin par kisi bhi rishte ka koi pul nahin banne pata
ek aisi majbur si hamdardi ki Dori mein
hum donon bandhe hue hain
jis mein hum ne samjhauton ki
kitni ganThen Dal rakhi hain
waqt ka jabr bhi kaisa hai
tujh ko tu nahin rahne deta
mujh ko main nahin hone deta
jismon ki yakjai kahin karta hai
ruhen aur kahin chhoD aata hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 75)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.