Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ghar se nikal aae to

Josh Malihabadi

tu ghar se nikal aae to

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    ghar se nikal aa.e to dhartī ko jagā de

    baaġh meñ jis vaqt lachaktī huī aa.e

    sāvan tarah jhuum ke paudoñ ko jhumā.e

    juuḌe girah khol ke belā jo uThā.e

    parbat pe barastī huī barkhā ko nachā de

    ghar se nikal aa.e to dhartī ko jagā de

    ā.ankhoñ ko jhukā.e hue pallū ko uThā.e

    mukhḌe pe liye sub.h ke machle hue saa.e

    letī huī añgḌā.ī agar ghaaT pe aa.e

    gañgā har ik lahr meñ ik dhuum machā de

    ghar se nikal aa.e to dhartī ko jagā de

    kirnoñ se gire os jo ho terā ishārā

    miTTī ko nichoḌe to bahe rañg dhārā

    zarre ko jo rauñde to bane sub.h taarā

    kāñTe pe jo paañv dhare phuul banā de

    ghar se nikal aa.e to dhartī ko jagā de

    tu ghar se nikal aae to dharti ko jaga de

    tu bagh mein jis waqt lachakti hui aae

    sawan ki tarah jhum ke paudon ko jhumae

    juDe ki girah khol ke bela jo uThae

    parbat pe barasti hui barkha ko nacha de

    tu ghar se nikal aae to dharti ko jaga de

    aaankhon ko jhukae hue pallu ko uThae

    mukhDe pe liye subh ke machle hue sae

    leti hui angDai agar ghaT pe aae

    ganga ki har ek lahr mein ek dhum macha de

    tu ghar se nikal aae to dharti ko jaga de

    kirnon se gire os jo ho tera ishaara

    miTTi ko nichoDe to bahe rang ka dhaara

    zarre ko jo raunde to bane subh ka tara

    kanTe pe jo tu panw dhare phul bana de

    tu ghar se nikal aae to dharti ko jaga de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now