tu KHafa ho to bahut dur kahin
rāste gard meñ aTte hue raahī se bichhaḌ jaate haiñ
ḳhuun rotī huī āñkhoñ meñ kahīñ shaam utar jaatī hai
āsmāñ ke sabhī jhilmil se munavvar taare
raakh ban kar kisī tārīk samundar meñ bhaTak jaate haiñ
phuul jo shāḳh kī zīnat the bikhar jaate haiñ
ajnabī des meñ phir duur bahut duur kahīñ
ek hañstā sā munavvar chehra
kaisī tārīk udāsī meñ utar jaatā hai
us kī jaltī huī āñkhoñ kā pighaltā kājal
ashk ban kar kahīñ takiye pe bikhar jaatā hai
jal-tarañg jaisī hañsī shoḳh tabassum us kā
aisā lagtā hai ghane dard meñ kho jaatā hai
us kī palkoñ pe machalte aañsū
thak ke phir hijr kī dahlīz pe so jaate haiñ
aur vo kitne dinoñ tak ḳhud ko
niim tārīk se kamre meñ muqayyad kar ke
zahr ke jaam piyā kartī hai
niiñd aur ḳhvāb ke mābain sulagte pal meñ
bas tujhe yaad kiyā kartī hai
ik tirā naam liyā kartī hai
us kī āñkhoñ meñ tire naam ko sun kar aksar
aisā lagtā hai hazāroñ hī diye jalte haiñ
us kī duniyā ke suhāne manzar
naqsh bante haiñ tirī yaad ke sañg chalte haiñ
hañste gaate hue jugnū panchhī
ābshāroñ kā tarannum jaise
apnī hastī kā takallum jaise
saut-o-āhang ke sab rang hamesha ke liye
dard-o-āshob kī āvāz meñ Dhal jaate haiñ
tū ḳhafā ho to bahut duur bahut duur kahīñ
ek laḌkī ke shab-o-roz badal jaate haiñ
raste gard mein aTte hue rahi se bichhaD jate hain
KHun roti hui aankhon mein kahin sham utar jati hai
aasman ke sabhi jhilmil se munawwar tare
rakh ban kar kisi tarik samundar mein bhaTak jate hain
phul jo shaKH ki zinat the bikhar jate hain
ajnabi des mein phir dur bahut dur kahin
ek hansta sa munawwar chehra
kaisi tarik udasi mein utar jata hai
us ki jalti hui aankhon ka pighalta kajal
ashk ban kar kahin takiye pe bikhar jata hai
jal-tarang jaisi hansi shoKH tabassum us ka
aisa lagta hai ghane dard mein kho jata hai
us ki palkon pe machalte aansu
thak ke phir hijr ki dahliz pe so jate hain
aur wo kitne dinon tak KHud ko
nim tarik se kamre mein muqayyad kar ke
zahr ke jam piya karti hai
nind aur KHwab ke mabain sulagte pal mein
bas tujhe yaad kiya karti hai
ek tera nam liya karti hai
us ki aankhon mein tere nam ko sun kar aksar
aisa lagta hai hazaron hi diye jalte hain
us ki duniya ke suhane manzar
naqsh bante hain teri yaad ke sang chalte hain
hanste gate hue jugnu panchhi
aabshaaron ka tarannum jaise
apni hasti ka takallum jaise
saut-o-ahang ke sab rang hamesha ke liye
dard-o-ashob ki aawaz mein Dhal jate hain
tu KHafa ho to bahut dur bahut dur kahin
ek laDki ke shab-o-roz badal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.