tu
kyā kahūñ tujh ko maiñ kyā kah ke pukāroñ tujh ko
jaise qāsid koī ik pyaar meñ Duube ḳhat ko
band darvāze ke palloñ meñ phañsā detā hai
aur ḳhat dekh ke ik ishq meñ pāband nazar
dil-e-ma.ashūq kī har baat samajh jaatī hai
tū khiñchī aatī hai yuuñ haule se merī jānib
ḳhāna-e-dil meñ usī pyaar bhare ḳhat kī tarah
hasrat-e-chashm mirī tujh meñ simaT jaatī hai
zehn meñ azm nigāhoñ meñ ka.ī ḳhvāb liye
shāḳh-e-dil meñ mirī tū ristī chalī aatī hai
rañg aur nuur fazā kā bhī sañvar jaatā hai
mire jazbāt ko tū ishq sikhā jaatī hai
kyā kahūñ tujh ko maiñ kyā kah ke pukāroñ tujh ko
terī āñkhoñ kā tasavvur tire gāloñ kī mahak
jazba-e-rūh meñ tūfān uThā jaate haiñ
zehn-o-dil par likhe tārīḳh ke panne panne
terī chāhat meñ yūñhī miTte chale jaate haiñ
ātish-e-ishq se khultā huā kundan sā badan
ḳhud-ba-ḳhud naqsh huā jaatā hai jān-o-dil par
ḳhud-ba-ḳhud paañv nikal paḌte haiñ terī jānib
bāġhbāñ dil ko koī jaise ki mil jaatā hai
aur har samt faqat tū hī nazar aatī hai
kyā kahūñ tujh ko maiñ kyā kah ke pukāroñ tujh ko
kyuuñ ye mahsūs mujhe hotā hai lamha lamha
merī duniyā tirī chāhat ke sivā kuchh bhī nahīñ
aaj tū hī to hai dastūr tasavvur kā mire
jaise duniyā meñ mirā tere sivā koī nahīñ
merī shāḳhoñ pe tire naam ke gul khilte haiñ
mere pattoñ meñ tire rañg hare bahte haiñ
aaj pairoñ meñ thirakte haiñ tire nāz-o-adā
mere naġhmoñ ko tū pur-kaif banā detī hai
kyā kahūñ tujh ko maiñ kyā kah ke pukāroñ tujh ko
kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko
jaise qasid koi ek pyar mein Dube KHat ko
band darwaze ke pallon mein phansa deta hai
aur KHat dekh ke ek ishq mein paband nazar
dil-e-mashuq ki har baat samajh jati hai
tu khinchi aati hai yun haule se meri jaanib
KHana-e-dil mein usi pyar bhare KHat ki tarah
hasrat-e-chashm meri tujh mein simaT jati hai
zehn mein azm nigahon mein kai KHwab liye
shaKH-e-dil mein meri tu risti chali aati hai
rang aur nur faza ka bhi sanwar jata hai
mere jazbaat ko tu ishq sikha jati hai
kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko
teri aankhon ka tasawwur tere galon ki mahak
jazba-e-ruh mein tufan uTha jate hain
zehn-o-dil par likhe tariKH ke panne panne
teri chahat mein yunhi miTte chale jate hain
aatish-e-ishq se khulta hua kundan sa badan
KHud-ba-KHud naqsh hua jata hai jaan-o-dil par
KHud-ba-KHud panw nikal paDte hain teri jaanib
baghban dil ko koi jaise ki mil jata hai
aur har samt faqat tu hi nazar aati hai
kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko
kyun ye mahsus mujhe hota hai lamha lamha
meri duniya teri chahat ke siwa kuchh bhi nahin
aaj tu hi to hai dastur tasawwur ka mere
jaise duniya mein mera tere siwa koi nahin
meri shaKHon pe tere nam ke gul khilte hain
mere patton mein tere rang hare bahte hain
aaj pairon mein thirakte hain tere naz-o-ada
mere naghmon ko tu pur-kaif bana deti hai
kya kahun tujh ko main kya kah ke pukaron tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.