tu meri nazm hai jaan-e-man
tū mirī nazm hai
ḳhud meñ marbūt gum apnī dhun meñ ravāñ
pech-dar-pech āzād aur be-niyāz aur mub.ham
andarūnī-o-bairūnī āhang meñ
apne iz.hār-e-sad-rang meñ
naġhmagī añg meñ terī āvāz aur rang meñ
ye uThān
ye kamān
ye kamāñ se nikalte hue tiir sab bar-hadaf
tez chust
ramz meñ aur iz.hār-e-bebāk meñ bhī ishāre liye
apne hī isti.āre liye
jo kahānī kahe
kah ke bhī an-kahī an-sunī hī rahe
vasl-e-ma.anī ke pahlū meñ pahlū-e-tishna-labī hī rahe
kuchh kamī hī rahe
tujh ko pā kar tujhe aur paane kī tajdīd-e-iblāġh ke kaif meñ bār-bār
satr-dar-satr paḌhtā rahūñ
zulfoñ peshānī āñkhoñ se aariz laboñ se tire paañv kī āḳhirī por tak
mire lams se
lauh-e-dil par tirī raushnā.ī pe ik harf aa.e nahīñ
sar-basar to jamī kī jamī hī rahe
saare asrār khulte raheñ band darvāzoñ par aur asrār ke
aur bhī be-panah hoñ ma.ānī tire ek iqrār aur besh inkār ke
maiñ ta.āqub meñ jin ke rahūñ umr-bhar
tū mirī nazm hai jān-e-man
tu meri nazm hai
KHud mein marbut gum apni dhun mein rawan
pech-dar-pech aazad aur be-niyaz aur mubham
andaruni-o-bairuni aahang mein
apne izhaar-e-sad-rang mein
naghmagi ang mein teri aawaz aur rang mein
ye uThan
ye kaman
ye kaman se nikalte hue tir sab bar-hadaf
tez chust
ramz mein aur izhaar-e-bebak mein bhi ishaare liye
apne hi istiare liye
jo kahani kahe
kah ke bhi an-kahi an-suni hi rahe
wasl-e-mani ke pahlu mein pahlu-e-tishna-labi hi rahe
kuchh kami hi rahe
tujh ko pa kar tujhe aur pane ki tajdid-e-iblagh ke kaif mein bar-bar
satr-dar-satr paDhta rahun
zulfon peshani aankhon se aariz labon se tere panw ki aaKHiri por tak
mere lams se
lauh-e-dil par teri raushnai pe ek harf aae nahin
sar-basar to jami ki jami hi rahe
sare asrar khulte rahen band darwazon par aur asrar ke
aur bhi be-panah hon maani tere ek iqrar aur besh inkar ke
main taaqub mein jin ke rahun umr-bhar
tu meri nazm hai jaan-e-man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.