tu nahin jaanti
tere hoñToñ se bahtī huī ye hañsī
do-jahānoñ pe nāfiz na hone kā baa.is
tire haath haiñ
jin ko tū ne hamesha laboñ par rakhā muskurāte hue
tū nahīñ jāntī
niiñd kī goliyāñ kyoñ banā.ī ga.iiñ
log kyoñ raat ko uTh ke rote haiñ sote nahīñ
tū ne ab tak koī shab agar jāgte bhī guzārī
to vo barbie night thī
tujh ko kaise batā.ūñ
ki terī sadā ke ta'āqub meñ
maiñ kaise dariyāoñ sahrāoñ aur jangaloñ se guzartā huā
ek aisī jagah jā girā thā
jahāñ peḌ kā sūkhnā 'aam sī baat thī
jahāñ un charāġhoñ ko jalne kī ujrat nahīñ mil rahī thī
jahāñ laḌkiyoñ ke badan sirf ḳhushbū banāne ke kaam aate the
jahāñ ek mā'sūm bachcha parinde pakaḌne ke saare hunar jāntā thā
mujh ko mā'lūm thā
terā aise jahāñ aisī duniyā se koī ta'alluq nahīñ
tū nahīñ jāntī
kitnī āñkheñ tujhe dekhte dekhte bujh ga.iiñ
kitne kurte tire haath se istirī ho ke jalne kī ḳhvāhish meñ khūñTī se laTke rahe
kitne lab tere māthe ko tarse
kitnī shahrāheñ is shauq meñ phaT ga.ī haiñ
ki tū un ke siine pe paañv dhare
maiñ tujhe DhūñDte DhūñDhte thak gayā huuñ
ab mujhe terī maujūdgī chāhiye
apne sāTan meñ sahme hue surḳh pairoñ ko ab mere hāthoñ pe rakh
maiñ ne chakhnā hai in kā namak
tere honTon se bahti hui ye hansi
do-jahanon pe nafiz na hone ka bais
tere hath hain
jin ko tu ne hamesha labon par rakha muskuraate hue
tu nahin jaanti
nind ki goliyan kyon banai gain
log kyon raat ko uTh ke rote hain sote nahin
tu ne ab tak koi shab agar jagte bhi guzari
to wo barbie night thi
tujh ko kaise bataun
ki teri sada ke ta'aqub mein
main kaise dariyaon sahraon aur jangalon se guzarta hua
ek aisi jagah ja gira tha
jahan peD ka sukhna 'am si baat thi
jahan un charaghon ko jalne ki ujrat nahin mil rahi thi
jahan laDkiyon ke badan sirf KHushbu banane ke kaam aate the
jahan ek ma'sum bachcha parinde pakaDne ke sare hunar jaanta tha
mujh ko ma'lum tha
tera aise jahan aisi duniya se koi ta'alluq nahin
tu nahin jaanti
kitni aankhen tujhe dekhte dekhte bujh gain
kitne kurte tere hath se istiri ho ke jalne ki KHwahish mein khunTi se laTke rahe
kitne lab tere mathe ko tarse
kitni shahrahen is shauq mein phaT gai hain
ki tu un ke sine pe panw dhare
main tujhe DhunDte DhunDhte thak gaya hun
ab mujhe teri maujudgi chahiye
apne saTan mein sahme hue surKH pairon ko ab mere hathon pe rakh
main ne chakhna hai in ka namak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.